Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab tak phirunga hath mein kasa uTha ke main

Dilawar Ali Aazar

kab tak phirunga hath mein kasa uTha ke main

Dilawar Ali Aazar

kab tak phiruñgā haath meñ kaasa uThā ke maiñ

chāhtā hai bhaag luuñ duniyā uThā ke maiñ

hotī hai niiñd meñ kahīñ tashkīl-e-ḳhadd-o-ḳhāl

uThtā huuñ apne ḳhvāb chehra uThā ke maiñ

ba.ad az sadā-e-kun huī taqsīm-e-hast-o-būd

phirtā thā kā.enāt akelā uThā ke maiñ

kyūñkar na sahl ho mujhe rāh-e-dayār-e-ishq

laayā huuñ dasht-e-najd naqsha uThā ke maiñ

baḌhne lagā thā nashsha-e-taḳhlīq-e-āb o ḳhaak

vo chaak uThā ke chal diyā kuuza uThā ke maiñ

hai sā.at-e-visāl ke malne pe munhasir

kas samt bhāgtā huuñ ye lamha uThā ke maiñ

qurbat-pasand dil tabī.at meñ thā tazād

ḳhush ho rahā huuñ hijr sadma uThā maiñ

ab mujh ko ehtimām se kiije supurd-e-ḳhāk

uktā chukā huuñ jism malba uThā ke maiñ

achchhā bhalā to thā tan-e-tanhā jahān meñ

pachhtā rahā huuñ ḳhalq beḌā uThā ke maiñ

'āzar' mujhe madīne se hijrat hukm thā

sahrā meñ le ke aa gayā ḳhema uThā ke maiñ

kab tak phirunga hath mein kasa uTha ke main

ji chahta hai bhag lun duniya uTha ke main

hoti hai nind mein kahin tashkil-e-KHadd-o-KHal

uThta hun apne KHwab ka chehra uTha ke main

baad az sada-e-kun hui taqsim-e-hast-o-bud

phirta tha kaenat akela uTha ke main

kyunkar na sahl ho mujhe rah-e-dayar-e-ishq

laya hun dasht-e-najd ka naqsha uTha ke main

baDhne laga tha nashsha-e-taKHliq-e-ab o KHak

wo chaak uTha ke chal diya kuza uTha ke main

hai saat-e-visal ke malne pe munhasir

kas samt bhagta hun ye lamha uTha ke main

qurbat-pasand dil ki tabiat mein tha tazad

KHush ho raha hun hijr ka sadma uTha main

ab mujh ko ehtimam se kije supurd-e-KHak

ukta chuka hun jism ka malba uTha ke main

achchha bhala to tha tan-e-tanha jahan mein

pachhta raha hun KHalq ka beDa uTha ke main

'azar' mujhe madine se hijrat ka hukm tha

sahra mein le ke aa gaya KHema uTha ke main

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now