kab wo zahir hoga aur hairan kar dega mujhe
kab vo zāhir hogā aur hairān kar degā mujhe
jitnī bhī mushkil meñ huuñ āsān kar degā mujhe
rū-ba-rū kar ke kabhī apne mahakte surḳh hoñT
ek do pal ke liye gul-dān kar degā mujhe
ruuh phūñkegā mohabbat kī mire paikar meñ vo
phir vo apne sāmne be-jān kar degā mujhe
ḳhvāhishoñ kā ḳhuuñ bahā.egā sar-e-bāzār-e-shauq
aur mukammal be-sar-o-sāmān kar degā mujhe
munhadim kar degā aa kar saarī tāmīrāt-e-dil
dekhte hī dekhte vīrān kar degā mujhe
ek nā-maujūdgī rah jā.egī chāroñ taraf
rafta rafta is qadar sunsān kar degā mujhe
yā to mujh se vo chhuḌā degā ġhazal-goī 'zafar'
yā kisī din sāhib-e-dīvān kar degā mujhe
kab wo zahir hoga aur hairan kar dega mujhe
jitni bhi mushkil mein hun aasan kar dega mujhe
ru-ba-ru kar ke kabhi apne mahakte surKH honT
ek do pal ke liye gul-dan kar dega mujhe
ruh phunkega mohabbat ki mere paikar mein wo
phir wo apne samne be-jaan kar dega mujhe
KHwahishon ka KHun bahaega sar-e-bazar-e-shauq
aur mukammal be-sar-o-saman kar dega mujhe
munhadim kar dega aa kar sari tamiraat-e-dil
dekhte hi dekhte viran kar dega mujhe
ek na-maujudgi rah jaegi chaaron taraf
rafta rafta is qadar sunsan kar dega mujhe
ya to mujh se wo chhuDa dega ghazal-goi 'zafar'
ya kisi din sahib-e-diwan kar dega mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.