kabhi sunte hain aql-o-hosh ki aur kam bhi pite hain
kabhī sunte haiñ 'aql-o-hosh kī aur kam bhī piite haiñ
kabhī saaqī kī nazreñ dekh kar paiham bhī piite haiñ
kahāñ tum dostoñ ke sāmne bhī pī nahīñ sakte
kahāñ ham rū-ba-rū-e-nāseh-e-barham bhī piite haiñ
ḳhizāñ kī fasl ho roze ke ayyām-e-mubārak hoñ
tabī'at lahr par aa.ī to be-mausam bhī piite haiñ
tavāf-e-kā'ba be-kaifiyyat-e-mai ho nahīñ saktā
milā lete haiñ thoḌī sī agar zamzam bhī piite haiñ
kahāñ kī tauba kaisā ittiqā ahd-e-javānī meñ
agar samjho to aao tum bhī chakkho ham bhī piite haiñ
'nushūr' ālūda-e-isyāñ sahī phir kaun baaqī hai
ye bāteñ raaz kī haiñ qibla-e-ālam bhī piite haiñ
kabhi sunte hain 'aql-o-hosh ki aur kam bhi pite hain
kabhi saqi ki nazren dekh kar paiham bhi pite hain
kahan tum doston ke samne bhi pi nahin sakte
kahan hum ru-ba-ru-e-naseh-e-barham bhi pite hain
KHizan ki fasl ho roze ke ayyam-e-mubarak hon
tabi'at lahr par aai to be-mausam bhi pite hain
tawaf-e-ka'ba be-kaifiyyat-e-mai ho nahin sakta
mila lete hain thoDi si agar zamzam bhi pite hain
kahan ki tauba kaisa ittiqa ahd-e-jawani mein
agar samjho to aao tum bhi chakkho hum bhi pite hain
'nushur' aaluda-e-isyan sahi phir kaun baqi hai
ye baaten raaz ki hain qibla-e-alam bhi pite hain
- Book : Sawad-e-manzil (Pg. 90)
- Author : Nushoor Wahedi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd, Delhi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.