Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaisa maftuh sa manzar hai kai sadiyon se

Wasi Shah

kaisa maftuh sa manzar hai kai sadiyon se

Wasi Shah

kaisā maftūh manzar hai ka.ī sadiyoñ se

mere qadmoñ pe mirā sar hai ka.ī sadiyoñ se

ḳhauf rahtā hai na sailāb kahīñ le jaa.e

merī palkoñ pe tirā ghar hai ka.ī sadiyoñ se

ashk āñkhoñ meñ sulagte hue so jaate haiñ

ye mirī aañkh jo banjar hai ka.ī sadiyoñ se

kaun kahtā hai mulāqāt mirī aaj hai

mirī ruuh ke andar hai ka.ī sadiyoñ se

maiñ ne jis ke liye har shaḳhs ko nārāz kiyā

ruuTh jaa.e na yahī Dar hai ka.ī sadiyoñ se

us ko aadat hai jaḌeñ kāTte rahne 'vasī'

jo mirī zaat mehvar hai ka.ī sadiyoñ se

kaisa maftuh sa manzar hai kai sadiyon se

mere qadmon pe mera sar hai kai sadiyon se

KHauf rahta hai na sailab kahin le jae

meri palkon pe tera ghar hai kai sadiyon se

ashk aankhon mein sulagte hue so jate hain

ye meri aankh jo banjar hai kai sadiyon se

kaun kahta hai mulaqat meri aaj ki hai

tu meri ruh ke andar hai kai sadiyon se

main ne jis ke liye har shaKHs ko naraaz kiya

ruTh jae na yahi Dar hai kai sadiyon se

us ko aadat hai jaDen kaTte rahne ki 'wasi'

jo meri zat ka mehwar hai kai sadiyon se

Source :
  • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 222)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now