Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kamal-e-husn ka jis se tumhein KHazana mila

Aatish Bahawalpuri

kamal-e-husn ka jis se tumhein KHazana mila

Aatish Bahawalpuri

kamāl-e-husn jis se tumheñ ḳhazāna milā

mujhe isī se ye andāz-e-āshiqāna milā

jabīn-e-shauq ko āsūdgī nasīb huī

sar-e-niyāz ko jab terā āstāna milā

tamām umr sahāroñ justujū meñ rahā

vo bad-nasīb jise terā aasrā na milā

kamī na thī mirī duniyā meñ āshnāoñ

sitam to ye hai koī dard-āshnā na milā

sanam-kadoñ meñ to asnām jalva-farmā the

ḳhudā ke ghar meñ bhī mujh ko kahīñ ḳhudā na milā

tumheñ to apnī jafāoñ ḳhuub daad milī

mirī vafāoñ mujh ko koī sila na milā

chaman meñ rah ke bhī 'ātish' ḳhizāñ-nasīboñ ko

kabhī bahār paiġhām-e-jāñ-fazā na milā

kamal-e-husn ka jis se tumhein KHazana mila

mujhe isi se ye andaz-e-ashiqana mila

jabin-e-shauq ko aasudgi nasib hui

sar-e-niyaz ko jab tera aastana mila

tamam umr sahaaron ki justuju mein raha

wo bad-nasib jise tera aasra na mila

kami na thi meri duniya mein aashnaon ki

sitam to ye hai koi dard-ashna na mila

sanam-kadon mein to asnam jalwa-farma the

KHuda ke ghar mein bhi mujh ko kahin KHuda na mila

tumhein to apni jafaon ki KHub dad mili

meri wafaon ka mujh ko koi sila na mila

chaman mein rah ke bhi 'atish' KHizan-nasibon ko

kabhi bahaar ka paigham-e-jaan-faza na mila

Source :
  • Book : Jada-e-manzil (Pg. 38)
  • Author : Atish Bahawalpuri
  • Publication : Nirali Duniya Publications (2001)
  • Edition : 2001
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now