Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kha ke kal ho pech-o-tab uTha jo dil se nala tha

Mamnoon Nizamuddin

kha ke kal ho pech-o-tab uTha jo dil se nala tha

Mamnoon Nizamuddin

khā ke kal ho pech-o-tāb uThā jo dil se naala thā

ke gardūñ pe chamaktā shola-e-javvāla thā

ḳhvāb meñ bosa liyā thā raat ba-lab-e-nāzukī

sub.h dam dekhā to us ke hoñTh pe but-ḳhāla thā

vaah afsurdagī is ḳhātir-e-dil-gīr

ashk qatra jo Tapkā chashm se so zhāla thā

thī ḳhayāle-e-mah-ruḳhāñ se shab baġhal labrez nuur

aab se ḳhālī va-lekin mai ba-rañg-e-hāla thā

kal ba-rañg-e-ġhuncha thī kis ko majāl-e-guftugū

baat jab kartā thā muñh meñ dil yak parkāla thā

bad-gumānī se Darā varna liyā terā jo naam

dekhnā bose ḳhātir maiñ lab-e-dallāla thā

kha ke kal ho pech-o-tab uTha jo dil se nala tha

ja ke gardun pe chamakta shola-e-jawwala tha

KHwab mein bosa liya tha raat ba-lab-e-nazuki

subh dam dekha to us ke honTh pe but-KHala tha

wah ri afsurdagi is KHatir-e-dil-gir ki

ashk ka qatra jo Tapka chashm se so zhaala tha

thi KHayale-e-mah-ruKHan se shab baghal labrez nur

aab se KHali wa-lekin mai ba-rang-e-haala tha

kal ba-rang-e-ghuncha thi kis ko majal-e-guftugu

baat jab karta tha munh mein dil ka yak parkala tha

bad-gumani se Dara warna liya tera jo nam

dekhna bose ki KHatir main lab-e-dallala tha

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now