Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHak the kahkashan ke the hi nahin

Zia Zameer

KHak the kahkashan ke the hi nahin

Zia Zameer

ḳhaak the kahkashāñ ke the nahīñ

ham kisī āsmāñ ke the nahīñ

us ne aisā kiyā nazar-andāz

jaise ham dāstāñ ke the nahīñ

tum ne jo bhī savāl ham se kiye

vo savāl imtihāñ ke the nahīñ

chhoḌ kar jo chale ga.e us ko

haañ vo hindostāñ ke the nahīñ

itnī jaldī jo bhar ga.e haiñ zaḳhm

jism ke the ye jaañ ke the nahīñ

sher dil meñ utar nahīñ paa.e

kyūñki dil zabāñ ke the nahīñ

mas.ala thā to bas anā thā

fāsle darmiyāñ ke the nahīñ

KHak the kahkashan ke the hi nahin

hum kisi aasman ke the hi nahin

us ne aisa kiya nazar-andaz

jaise hum dastan ke the hi nahin

tum ne jo bhi sawal hum se kiye

wo sawal imtihan ke the hi nahin

chhoD kar jo chale gae us ko

han wo hindostan ke the hi nahin

itni jaldi jo bhar gae hain zaKHm

jism ke the ye jaan ke the hi nahin

sher dil mein utar nahin pae

kyunki dil ki zaban ke the hi nahin

masala tha to bas ana ka tha

fasle darmiyan ke the hi nahin

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now