aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHair yunhi sahi taskin ho kahin thoDi si

Nizam Rampuri

KHair yunhi sahi taskin ho kahin thoDi si

Nizam Rampuri

MORE BYNizam Rampuri

    ḳhair yūñhī sahī taskīñ ho kahīñ thoḌī

    ''hāñ'' to kahte ho magar saath ''nahīñ'' thoḌī

    hāl-e-dil sun ke mirā barsar-e-rahmat to haiñ kuchh

    abhī baaqī hai magar chīn-e-jabīñ thoḌī

    huī jaatī hai sahar aisā bhī ghabrānā kyā

    raat gar hai bhī to ai māh-jabīñ thoḌī

    jām-e-mai dekh ke labrez kis andāz ke saath

    us kahnā ki nahīñ, itnī nahīñ, thoḌī

    be-ḳhudī ye dam-e-ruḳhsat thī ki sab kuchh bhūlā

    un bāteñ bhī mujhe yaad rahīñ thoḌī

    ab ye paiġhām kisī koī le kar jaa.e

    abhī lab par hai mire jān-e-hazīñ thoḌī

    yuuñ to tum roz kahte ho sabhī kuchh mujh se

    aaj baat huī zehn-nashīñ thoḌī

    un se kuchh kah na sakā maiñ shab-e-ġham bāteñ

    go ki bhūlā thā magar yaad bhī thiiñ thoḌī

    bosa to us lab-e-shīrīñ se kahāñ miltā hai

    gāliyāñ bhī milīñ ham ko to milīñ thoḌī

    ab to sab tire kūche meñ maskan Thahrā

    yahī ābād hai duniyā meñ zamīñ thoḌī

    uTThe jaate haiñ hamīñ aap na baiTheñ ḳhāmosh

    aap baat samajhte haiñ hamīñ thoḌī

    yaad kuchh aa ke ye hālat huī merī ki na pūchh

    pichhlī ghaḌiyāñ shab-e-ġham jo rahīñ thoḌī

    sub.h tak shaam se vo go ki rahe paas mire

    hasrateñ dil magar rah ga.iiñ thoḌī

    koste kyā ho abhī hote haiñ ham shādi-e-marg

    gar mile dafn ko kūche meñ zamīñ thoḌī

    sab mirā haal vahāñ kaise kahegā qāsid!

    to suntā hai mirī baat nahīñ thoḌī

    daulat-e-faqr se sab ho ga.ī taskīn 'nizām'

    ab kareñ kyā talab-e-tāj-o-nagīñ thoḌī

    KHair yunhi sahi taskin ho kahin thoDi si

    han to kahte ho magar sath nahin thoDi si

    haal-e-dil sun ke mera barsar-e-rahmat to hain kuchh

    abhi baqi hai magar chin-e-jabin thoDi si

    hui jati hai sahar aisa bhi ghabrana kya

    raat gar hai bhi to ai mah-jabin thoDi si

    jam-e-mai dekh ke labrez kis andaz ke sath

    us ka kahna ki nahin, itni nahin, thoDi si

    be-KHudi ye dam-e-ruKHsat thi ki sab kuchh bhula

    un ki baaten bhi mujhe yaad rahin thoDi si

    ab ye paigham kisi ka koi le kar jae

    abhi lab par hai mere jaan-e-hazin thoDi si

    yun to tum roz hi kahte ho sabhi kuchh mujh se

    aaj ki baat hui zehn-nashin thoDi si

    un se kuchh kah na saka main shab-e-gham ki baaten

    go ki bhula tha magar yaad bhi thin thoDi si

    bosa to us lab-e-shirin se kahan milta hai

    galiyan bhi milin hum ko to milin thoDi si

    ab to sab ka tere kuche hi mein maskan Thahra

    yahi aabaad hai duniya mein zamin thoDi si

    uTThe jate hain hamin aap na baiThen KHamosh

    aap ki baat samajhte hain hamin thoDi si

    yaad kuchh aa ke ye haalat hui meri ki na puchh

    pichhli ghaDiyan shab-e-gham ki jo rahin thoDi si

    subh tak sham se wo go ki rahe pas mere

    hasraten dil ki magar rah hi gain thoDi si

    koste kya ho abhi hote hain hum shadi-e-marg

    gar mile dafn ko kuche mein zamin thoDi si

    sab mera haal wahan kaise kahega qasid!

    tu to sunta hai meri baat nahin thoDi si

    daulat-e-faqr se sab ho gai taskin 'nizam'

    ab karen kya talab-e-taj-o-nagin thoDi si

    Source:

    kulliyat-e-nizaam (Pg. 378)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now