Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda bhi jaanta hai KHub jo makkar baiThe hain

Dr. Azam

KHuda bhi jaanta hai KHub jo makkar baiThe hain

Dr. Azam

ḳhudā bhī jāntā hai ḳhuub jo makkār baiThe haiñ

haram meñ sar-nigūñ kuchh qābil-e-finnār baiThe haiñ

gharoñ meñ saath baiThe haiñ sar-e-bāzār baiThe haiñ

naqāb apnoñ oḌhe āj-kal aġhyār baiThe haiñ

mohabbat nazar meñ jiit hai ham ne vo baazī

zamāne nazar meñ ham ki jis ko haar baiThe haiñ

ḳhatā ho jaa.e ham se jo koī to darguzar karnā

tumhārī bazm meñ ham aaj pahlī baar baiThe haiñ

zamīñ se falak se ki apnoñ se ki ġhairoñ se

batā.eñ kis tarah kis kis se ham bezār baiThe haiñ

yahī jamhūriyat naqs hai jo taḳht-e-shāhī par

kabhī makkār baiThe haiñ kabhī ġhaddār baiThe haiñ

adab mahfiloñ meñ ab kahāñ jamm-e-ġhafīr 'āzam'

yahāñ do-chār baiThe haiñ vahāñ do-chār baiThe haiñ

KHuda bhi jaanta hai KHub jo makkar baiThe hain

haram mein sar-nigun kuchh qabil-e-finnar baiThe hain

gharon mein sath baiThe hain sar-e-bazar baiThe hain

naqab apnon ka oDhe aaj-kal aghyar baiThe hain

mohabbat ki nazar mein jit li hai hum ne wo bazi

zamane ki nazar mein hum ki jis ko haar baiThe hain

KHata ho jae hum se jo koi to darguzar karna

tumhaari bazm mein hum aaj pahli bar baiThe hain

zamin se ya falak se ya ki apnon se ki ghairon se

bataen kis tarah kis kis se hum bezar baiThe hain

yahi jamhuriyat ka naqs hai jo taKHt-e-shahi par

kabhi makkar baiThe hain kabhi ghaddar baiThe hain

adab ki mahfilon mein ab kahan jamm-e-ghafir 'azam'

yahan do-chaar baiThe hain wahan do-chaar baiThe hain

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now