khulta hai yun hawa ka daricha samajh liya
khultā hai yuuñ havā kā darīcha samajh liyā
ḳhud ko shajar pe āḳhirī pattā samajh liyā
bhaTke hue ḳhayāl kī sūrat use mile
bhūlā huā umiid kā rastā samajh liyā
ik ye savāl hal nahīñ hotā visāl meñ
kitnā qarīb aa ga.e kitnā samajh liyā
miltī rahegī ḳhvāb kī sauġhāt ḳhvāb meñ
hotā rahegā tai safar apnā samajh liyā
uThne lagī hai shaam kī dīvār phir kahīñ
girne lagā hai dhuup kā ḳhema samajh liyā
apnā mirā qadīm makānoñ meñ hai koī
ek is sabab se dil kā ujaḌnā samajh liyā
us din se pāniyoñ kī tarah bah rahe haiñ ham
jis din se pattharoñ kā irāda samajh liyā
khulta hai yun hawa ka daricha samajh liya
KHud ko shajar pe aaKHiri patta samajh liya
bhaTke hue KHayal ki surat use mile
bhula hua umid ka rasta samajh liya
ek ye sawal hal nahin hota visal mein
kitna qarib aa gae kitna samajh liya
milti rahegi KHwab ki saughat KHwab mein
hota rahega tai safar apna samajh liya
uThne lagi hai sham ki diwar phir kahin
girne laga hai dhup ka KHema samajh liya
apna mera qadim makanon mein hai koi
ek is sabab se dil ka ujaDna samajh liya
us din se paniyon ki tarah bah rahe hain hum
jis din se pattharon ka irada samajh liya
- Book : duniyaa zaad (Pg. 209)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.