Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHub nibhegi hum donon mein mere jaisa tu bhi hai

Faragh Rohvi

KHub nibhegi hum donon mein mere jaisa tu bhi hai

Faragh Rohvi

ḳhuub nibhegī ham donoñ meñ mere jaisā bhī hai

thoḌā jhūTā maiñ bhī Thahrā thoḌā jhūTā bhī hai

jañg anā haar jaanā behtar hai ab laḌne se

maiñ bhī huuñ TuuTā TuuTā bikhrā bikhrā bhī hai

jaane kis ne Dar boyā hai ham donoñ rāhoñ meñ

maiñ bhī huuñ kuchh ḳhauf-zada sahmā sahmā bhī hai

ik muddat se fāsla qaa.em sirf hamāre biich kyuuñ

sab se miltā rahtā huuñ maiñ sab se miltā bhī hai

apne apne dil ke andar simTe hue haiñ ham donoñ

gum-sum gum-sum maiñ bhī bahut huuñ khoyā khoyā bhī hai

ham donoñ tajdīd-e-rifāqat kar lete to achchhā thā

dekh akelā maiñ nahīñ huuñ tanhā tanhā bhī hai

had se 'farāġh' aage nikle donoñ anā rāhoñ par

sarf-e-pashemāñ maiñ nahīñ huuñ kuchh sharminda bhī hai

KHub nibhegi hum donon mein mere jaisa tu bhi hai

thoDa jhuTa main bhi Thahra thoDa jhuTa tu bhi hai

jang ana ki haar hi jaana behtar hai ab laDne se

main bhi hun TuTa TuTa sa bikhra bikhra tu bhi hai

jaane kis ne Dar boya hai hum donon ki rahon mein

main bhi hun kuchh KHauf-zada sa sahma sahma tu bhi hai

ek muddat se fasla qaem sirf hamare bich hi kyun

sab se milta rahta hun main sab se milta tu bhi hai

apne apne dil ke andar simTe hue hain hum donon

gum-sum gum-sum main bhi bahut hun khoya khoya tu bhi hai

hum donon tajdid-e-rifaqat kar lete to achchha tha

dekh akela main hi nahin hun tanha tanha tu bhi hai

had se 'faragh' aage ja nikle donon ana ki rahon par

sarf-e-pasheman main hi nahin hun kuchh sharminda tu bhi hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Jagjit Singh

Jagjit Singh

Source :
  • Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 261)
  • Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
  • Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
  • Edition : 2014
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now