Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ki us tak rasai hoti hai

Haqeer

kis ki us tak rasai hoti hai

Haqeer

MORE BYHaqeer

    kis us tak rasā.ī hotī hai

    haañ magar jis aa.ī hotī hai

    yaar ham se siyāh-baḳhtoñ

    zulf tak kab rasā.ī hotī hai

    ḳhuub mil kar gale se ro lenā

    is se dil safā.ī hotī hai

    Dūbtī hai hamārī kashti-e-dil

    aap se āshnā.ī hotī hai

    shor hai al-firāq har dam

    ham se un se judā.ī hotī hai

    lashkar-e-ġham kishvar-e-dil par

    raat din ab chaḌhā.ī hotī hai

    un mahfil meñ jaate Dartā huuñ

    vaañ lagā.ī-bujhā.ī hotī hai

    us ke dar par 'haqīr' tum bhī chalo

    vahīñ mushkil-kushā.ī hotī hai

    kis ki us tak rasai hoti hai

    han magar jis ki aai hoti hai

    yar hum se siyah-baKHton ki

    zulf tak kab rasai hoti hai

    KHub mil kar gale se ro lena

    is se dil ki safai hoti hai

    Dubti hai hamari kashti-e-dil

    aap se aashnai hoti hai

    shor hai al-firaq ka har dam

    hum se un se judai hoti hai

    lashkar-e-gham ki kishwar-e-dil par

    raat din ab chaDhai hoti hai

    un ki mahfil mein jate Darta hun

    wan lagai-bujhai hoti hai

    us ke dar par 'haqir' tum bhi chalo

    wahin mushkil-kushai hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now