Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ko mili taskin-e-sahil kis ne sar manjdhaar kiya

Zaheer Kashmiri

kis ko mili taskin-e-sahil kis ne sar manjdhaar kiya

Zaheer Kashmiri

MORE BYZaheer Kashmiri

    kis ko milī taskīn-e-sāhil kis ne sar mañjdhār kiyā

    us tūfān se guzre jis ne nadī nadī ko paar kiyā

    ai farzāno! dīvānoñ ke jazba-e-dil qadr karo

    un ek nazar ne ātish ātish ko gulzār kiyā

    rañj-e-mohabbat rañj-e-zamāna donoñ ham se ḳhā.if haiñ

    ham ne soch samajh kar dil ko sargarm-e-paikār kiyā

    sahrā sahrā ham ne nok-e-ḳhār se talve sahlā.e

    mahfil mahfil ham ne apnī vahshat iqrār kiyā

    un se kah do sāmne aa kar apne jalve aam kareñ

    ḳhalvat-e-nāz meñ chhup na sakeñge ham ne agar isrār kiyā

    ham ne apne ishq ḳhātir zanjīreñ bhī dekhīñ haiñ

    ham ne un ke husn ḳhātir raqs bhī zer-e-dār kiyā

    bastī bastī aaj hamārī sa.ī-e-vafā shohrat hai

    ham ne 'zahīr' ik aalam ko pāband-e-nigāh-e-yār kiyā

    kis ko mili taskin-e-sahil kis ne sar manjdhaar kiya

    us tufan se guzre jis ne nadi nadi ko par kiya

    ai farzano! diwanon ke jazba-e-dil ki qadr karo

    un ki ek nazar ne aatish aatish ko gulzar kiya

    ranj-e-mohabbat ranj-e-zamana donon hum se KHaif hain

    hum ne soch samajh kar dil ko sargarm-e-paikar kiya

    sahra sahra hum ne nok-e-KHar se talwe sahlae

    mahfil mahfil hum ne apni wahshat ka iqrar kiya

    un se kah do samne aa kar apne jalwe aam karen

    KHalwat-e-naz mein chhup na sakenge hum ne agar israr kiya

    hum ne apne ishq ki KHatir zanjiren bhi dekhin hain

    hum ne un ke husn ki KHatir raqs bhi zer-e-dar kiya

    basti basti aaj hamari sai-e-wafa ki shohrat hai

    hum ne 'zahir' ek aalam ko paband-e-nigah-e-yar kiya

    Source :
    • Book : kulliyat-e-zahiir (Pg. 91)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now