kisi ka qahr kisi ki dua mile to sahi
kisī kā qahr kisī kī duā mile to sahī
sahī vo dushman-e-jāñ-āshnā mile to sahī
abhī to laal harī battiyoñ ko dekhte haiñ
mile kisī kī ḳhabar silsila mile to sahī
ye qaid hai to rihā.ī bhī ab zarūrī hai
kisī bhī samt koī rāsta mile to sahī
ye shām-e-sard meñ har sū alaav jalte haiñ
siyah ḳhamoshī meñ koī sadā mile to sahī
qabā-e-jism ki hai taar taar nazr kareñ
kabhī kahīñ vahī pāgal havā mile to sahī
kisi ka qahr kisi ki dua mile to sahi
sahi wo dushman-e-jaan-ashna mile to sahi
abhi to lal hari battiyon ko dekhte hain
mile kisi ki KHabar silsila mile to sahi
ye qaid hai to rihai bhi ab zaruri hai
kisi bhi samt koi rasta mile to sahi
ye sham-e-sard mein har su alaw jalte hain
siyah KHamoshi mein koi sada mile to sahi
qaba-e-jism ki hai tar tar nazr karen
kabhi kahin wahi pagal hawa mile to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.