Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitne hi faisle kiye par kahan ruk saka hun main

Ziaul Mustafa Turk

kitne hi faisle kiye par kahan ruk saka hun main

Ziaul Mustafa Turk

kitne faisle kiye par kahāñ ruk sakā huuñ maiñ

aaj bhī apne vaqt par ghar se nikal paḌā huuñ maiñ

abr se aur dhuup se rishta hai ek mirā

aa.ine aur charāġh ke biich fāsla huuñ maiñ

tujh ko chhuā to der tak ḳhud ko DhūñDtā rahā

itnī der meñ bhalā tujh se kahāñ milā huuñ maiñ

ḳhushbū tire vajūd ghere hue hai aaj bhī

tere laboñ zā.iqa bhuul nahīñ sakā huuñ maiñ

āyatoñ jaise nā-gahāñ jāvedāñ lams qasam

tere achhūte jism pahlā mukālima huuñ maiñ

vaise to merā dā.era puurā nahīñ huā abhī

aisī koī qaus thī jis se juḌā huā huuñ maiñ

jitnī bhī tez dhuup ho shāḳheñ haiñ mehrbāñ tirī

chhāñv parā.ī sahī saañs to le rahā huuñ maiñ

kitne hi faisle kiye par kahan ruk saka hun main

aaj bhi apne waqt par ghar se nikal paDa hun main

abr se aur dhup se rishta hai ek sa mera

aaine aur charagh ke bich ka fasla hun main

tujh ko chhua to der tak KHud ko hi DhunDta raha

itni si der mein bhala tujh se kahan mila hun main

KHushbu tere wajud ki ghere hue hai aaj bhi

tere labon ka zaiqa bhul nahin saka hun main

aayaton jaise na-gahan jawedan lams ki qasam

tere achhute jism ka pahla mukalima hun main

waise to mera daera pura nahin hua abhi

aisi hi koi qaus thi jis se juDa hua hun main

jitni bhi tez dhup ho shaKHen hain mehrban teri

chhanw parai hi sahi sans to le raha hun main

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now