koi nagahan mujhse bezar hai
koī nāgahāñ mujh se bezār hai
ġhalat-fahmiyoñ meñ giraftār hai
samajh kar mujhe jo samajhtā nahīñ
na jaane vo kaisā samajh-dār hai
na.e zaḳhm laatī hai bād-e-sabā
chaman meñ har ik phuul bīmār hai
shab-e-ġham ke maaro na māyūs ho
ujālā sā kuchh kuchh numūdār hai
baḌho manziloñ kī tamanna liye
girā do jo raste meñ dīvār hai
koi nagahan mujh se bezar hai
ghalat-fahmiyon mein giraftar hai
samajh kar mujhe jo samajhta nahin
na jaane wo kaisa samajh-dar hai
nae zaKHm lati hai baad-e-saba
chaman mein har ek phul bimar hai
shab-e-gham ke maro na mayus ho
ujala sa kuchh kuchh numudar hai
baDho manzilon ki tamanna liye
gira do jo raste mein diwar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.