Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi saughat-e-wafa de ke chala jaunga

Muzaffar Razmi

koi saughat-e-wafa de ke chala jaunga

Muzaffar Razmi

MORE BYMuzaffar Razmi

    koī sauġhāt-e-vafā de ke chalā jā.ūñgā

    tujh ko jiine adā de ke chalā jā.ūñgā

    mere dāman meñ agar kuchh na rahegā baaqī

    aglī nasloñ ko duā de ke chalā jā.ūñgā

    terī rāhoñ meñ mire baad na jaane kyā ho

    maiñ to naqsh-e-kaf-e-pā de ke chalā jā.ūñgā

    merī āvāz ko tarsegā tirā rañg-mahal

    maiñ to ik baar sadā de ke chalā jā.ūñgā

    merā māhaul rulātā hai mujhe aaj magar

    tum ko hañsne fazā de ke chalā jā.ūñgā

    bā.is-e-amn-o-mohabbat hai agar merā lahū

    qatra qatra ba-ḳhudā de ke chalā jā.ūñgā

    umr bhar buḳhl ehsās rulā.egā tumheñ

    maiñ to saa.il huuñ duā de ke chalā jā.ūñgā

    mere ajdād ne sauñpī thī jo mujh ko 'razmī'

    nasl-e-nau ko vo qabā de ke chalā jā.ūñgā

    koi saughat-e-wafa de ke chala jaunga

    tujh ko jine ki ada de ke chala jaunga

    mere daman mein agar kuchh na rahega baqi

    agli naslon ko dua de ke chala jaunga

    teri rahon mein mere baad na jaane kya ho

    main to naqsh-e-kaf-e-pa de ke chala jaunga

    meri aawaz ko tarsega tera rang-mahal

    main to ek bar sada de ke chala jaunga

    mera mahaul rulata hai mujhe aaj magar

    tum ko hansne ki faza de ke chala jaunga

    bais-e-amn-o-mohabbat hai agar mera lahu

    qatra qatra ba-KHuda de ke chala jaunga

    umr bhar buKHl ka ehsas rulaega tumhein

    main to sail hun dua de ke chala jaunga

    mere ajdad ne saunpi thi jo mujh ko 'razmi'

    nasl-e-nau ko wo qaba de ke chala jaunga

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    koi saughat-e-wafa de ke chala jaunga Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now