Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh aisa tha gumrahi ka saya

Abdul Aziz Fitrat

kuchh aisa tha gumrahi ka saya

Abdul Aziz Fitrat

kuchh aisā thā gumrahī saayā

apnā patā na ham ne paayā

dil kis ke jamāl meñ huā gum

aksar ye ḳhayāl na aayā

ham to tire zikr hue juzv

ne hameñ kis tarah bhulāyā

ai dost tirī nazar se merā

aivān-e-nigāh jag muskāyā

ḳhurshed usī ko ham ne jaanā

jo zarra zamīñ pe muskurāyā

maqsūd thī tāzgī chaman

ham ne rag-e-jāñ se ḳhuuñ bahāyā

uftād hai sab apnī apnī

kis ne hai kisī ġham baTāyā

marūmī-e-jāvedāñ hai aur maiñ

maiñ zauq-e-talab se baaz aayā

har ġham pe hai mere naam mahr

'fitrat' koī ġham nahīñ parāyā

kuchh aisa tha gumrahi ka saya

apna hi pata na hum ne paya

dil kis ke jamal mein hua gum

aksar ye KHayal hi na aaya

hum to tere zikr ka hue juzw

tu ne hamein kis tarah bhulaya

ai dost teri nazar se mera

aiwan-e-nigah jag muskaya

KHurshed usi ko hum ne jaana

jo zarra zamin pe muskuraya

maqsud thi tazgi chaman ki

hum ne rag-e-jaan se KHun bahaya

uftad hai sab ki apni apni

kis ne hai kisi ka gham baTaya

marumi-e-jawedan hai aur main

main zauq-e-talab se baz aaya

har gham pe hai mere nam ki mahr

'fitrat' koi gham nahin paraya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now