kuchh harf o suKHan pahle to aKHbar mein aaya
kuchh harf o suḳhan pahle to aḳhbār meñ aayā
phir 'ishq mirā kūcha o bāzār meñ aayā
ab āḳhir-e-shab dard kā bhaTkā huā rahvār
aayā bhī to shahr-e-lab-o-ruḳhsār meñ aayā
kyā naqsh huā dil ke añdhere meñ numūdār
kyā rozan-e-raushan mirī dīvār meñ aayā
hairāñ huuñ ki phir us ne na kī sabr kī tākīd
baazū jo mirā bāzu-e-dildār meñ aayā
ye ā.ina-guftār koī aur hai mujh meñ
sochā bhī na thā maiñ ne jo iz.hār meñ aayā
hāsil na huā mujh ko vo mahtāb to mā'būd
kyā farq tire sābit o sayyār meñ aayā
kuchh harf o suKHan pahle to aKHbar mein aaya
phir 'ishq mera kucha o bazar mein aaya
ab aaKHir-e-shab dard ka bhaTka hua rahwar
aaya bhi to shahr-e-lab-o-ruKHsar mein aaya
kya naqsh hua dil ke andhere mein numudar
kya rozan-e-raushan meri diwar mein aaya
hairan hun ki phir us ne na ki sabr ki takid
bazu jo mera bazu-e-dildar mein aaya
ye aaina-guftar koi aur hai mujh mein
socha bhi na tha main ne jo izhaar mein aaya
hasil na hua mujh ko wo mahtab to ma'bud
kya farq tere sabit o sayyar mein aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.