kya gharaz lakh KHudai mein hon daulat wale
kyā ġharaz laakh ḳhudā.ī meñ hoñ daulat vaale
un kā banda huuñ jo bande haiñ mohabbat vaale
chāheñ gar chāra jarāhat kā mohabbat vaale
becheñ almās o namak sañg-e-jarāhat vaale
ga.e jannat meñ agar soz-e-mohabbat vaale
to ye jaano rahe dozaḳh hī meñ jannat vaale
sāqiyā hoñ jo subūhī kī na 'ādat vaale
sub.h-e-mahshar ko bhī uTTheñ na tire matvāle
duḳhtar-e-raz ko nahīñ chheḌte haiñ matvāle
hazar us fāhisha se karte haiñ hurmat vaale
rahe juuñ shīsha-e-sā.at vo mukaddar donoñ
kabhī mil bhī ga.e do dil jo kudūrat vaale
kis maraz kī haiñ davā ye lab-e-jāñ-baḳhsh tire
jāñ-ba-lab haiñ tire āzār-e-mohabbat vaale
hirs ke phailte haiñ paañv ba-qadr-e-us.at
tañg hī rahte haiñ duniyā meñ farāġhat vaale
haa.e re hasrat-e-dīdār mirī haa.e ko bhī
likhte haiñ hā-e-do-chashmī se kitābat vaale
nahīñ juz sham' mujāvir mirī bālīn-e-mazār
nahīñ juz kasrat-e-parvāna ziyārat vaale
na shikāyat hai karam kī na sitam kī ḳhvāhish
dekh to ham bhī haiñ kyā sabr o qanā'at vaale
kyā tamāshā hai ki misl-e-mah-e-nau apnā faroġh
jānte apnī hiqārat ko haiñ shohrat vaale
dil se kuchh kahtā huuñ maiñ mujh se hai kuchh kahtā dil
donoñ ik haal meñ haiñ ranj o musībat vaale
tū gar aa jaa.e to ai dard-e-mohabbat kī davā
mire hamdard hoñ bedard fazīhat vaale
chhoḌ dete haiñ qalam juuñ qalam-e-ātish-bāz
mirī sharh-e-tapish-e-dil kī kitābat vaale
kabhī afsos hai aatā kabhī ronā aatā
dil-e-bīmār ke haiñ do hī 'ayādat vaale
tū mire haal se ġhāfil hai par ai ġhaflat-kesh
tere andāz-e-taġhāful nahīñ ġhaflat vaale
ham ne dekhā hai jo us but meñ nahīñ kah sakte
ki mubādā kahīñ sun paa.eñ sharī'at vaale
naaz hai gul ko nazākat pe chaman meñ ai 'zauq'
us ne dekhe hī nahīñ nāz-o-nazākat vaale
kya gharaz lakh KHudai mein hon daulat wale
un ka banda hun jo bande hain mohabbat wale
chahen gar chaara jarahat ka mohabbat wale
bechen almas o namak sang-e-jarahat wale
gae jannat mein agar soz-e-mohabbat wale
to ye jaano rahe dozaKH hi mein jannat wale
saqiya hon jo subuhi ki na 'adat wale
subh-e-mahshar ko bhi uTThen na tere matwale
duKHtar-e-raz ko nahin chheDte hain matwale
hazar us fahisha se karte hain hurmat wale
rahe jun shisha-e-saat wo mukaddar donon
kabhi mil bhi gae do dil jo kudurat wale
kis maraz ki hain dawa ye lab-e-jaan-baKHsh tere
jaan-ba-lab hain tere aazar-e-mohabbat wale
hirs ke phailte hain panw ba-qadr-e-usat
tang hi rahte hain duniya mein faraghat wale
hae re hasrat-e-didar meri hae ko bhi
likhte hain ha-e-do-chashmi se kitabat wale
nahin juz sham' mujawir meri baalin-e-mazar
nahin juz kasrat-e-parwana ziyarat wale
na shikayat hai karam ki na sitam ki KHwahish
dekh to hum bhi hain kya sabr o qana'at wale
kya tamasha hai ki misl-e-mah-e-nau apna farogh
jaante apni hiqarat ko hain shohrat wale
dil se kuchh kahta hun main mujh se hai kuchh kahta dil
donon ek haal mein hain ranj o musibat wale
tu gar aa jae to ai dard-e-mohabbat ki dawa
mere hamdard hon bedard fazihat wale
chhoD dete hain qalam jun qalam-e-atish-baz
meri sharh-e-tapish-e-dil ki kitabat wale
kabhi afsos hai aata kabhi rona aata
dil-e-bimar ke hain do hi 'ayaadat wale
tu mere haal se ghafil hai par ai ghaflat-kesh
tere andaz-e-taghaful nahin ghaflat wale
hum ne dekha hai jo us but mein nahin kah sakte
ki mubaada kahin sun paen shari'at wale
naz hai gul ko nazakat pe chaman mein ai 'zauq'
us ne dekhe hi nahin naz-o-nazakat wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.