Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya KHabar thi ek din ye hadisa ho jaega

Ejaz Ansari

kya KHabar thi ek din ye hadisa ho jaega

Ejaz Ansari

MORE BYEjaz Ansari

    kyā ḳhabar thī ek din ye hādisa ho jā.egā

    umr bhar chāhā jise vo bevafā ho jā.egā

    ho agar azm-e-musammam ḳhvāhish-e-manzil ke saath

    raah patthar bhī ik din rahnumā ho jā.egā

    is qadar baḌhne lagī hai har taraf ālūdgī

    saañs lenā aadmī mas.ala ho jā.egā

    zindagī bhar saath chalne jo khātā hai qasam

    dekhnā vo rāste meñ judā ho jā.egā

    ab tumhārā koī ḳhat koī ḳhabar miltī nahīñ

    aise aalam meñ to jiinā bhī sazā ho jā.egā

    sar uThāte haiñ yahāñ bhī asr-e-hāzir ke yazīd

    kal ye ḳhitta bhī mahāz-e-karbalā ho jā.egā

    kuchh na kuchh 'ejāz' naġhme likh vatan ke naam par

    is tarah se shā.irī haq adā ho jā.egā

    kya KHabar thi ek din ye hadisa ho jaega

    umr bhar chaha jise wo bewafa ho jaega

    ho agar azm-e-musammam KHwahish-e-manzil ke sath

    rah ka patthar bhi ek din rahnuma ho jaega

    is qadar baDhne lagi hai har taraf aaludgi

    sans lena aadmi ka masala ho jaega

    zindagi bhar sath chalne ki jo khata hai qasam

    dekhna wo raste hi mein juda ho jaega

    ab tumhaara koi KHat koi KHabar milti nahin

    aise aalam mein to jina bhi saza ho jaega

    sar uThate hain yahan bhi asr-e-hazir ke yazid

    kal ye KHitta bhi mahaz-e-karbala ho jaega

    kuchh na kuchh 'ejaz' naghme likh watan ke nam par

    is tarah se shairi ka haq ada ho jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now