Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya puchhte ho mujhse ki main kis nagar ka tha

Akhtar Hoshiyarpuri

kya puchhte ho mujhse ki main kis nagar ka tha

Akhtar Hoshiyarpuri

MORE BYAkhtar Hoshiyarpuri

    kyā pūchhte ho mujh se ki maiñ kis nagar thā

    jaltā huā charāġh mirī rah-guzar thā

    ham jab safar pe nikle the tāroñ chhāñv thī

    phir apne ham-rikāb ujālā sahar thā

    sāhil giilī ret ne baḳhshā thā pairahan

    jaise samundaroñ safar chashm-e-tar thā

    chehre pe uḌtī gard thī bāloñ meñ raakh thī

    shāyad vo ham-safar mire ujḌe nagar thā

    kyā chīḳhtī havāoñ se ahvāl pūchhtā

    saaya yādgār mire ham-safar thā

    yaksāniyat thī kitnī hamāre vajūd meñ

    apnā jo haal thā vahī aalam bhañvar thā

    vo kaun thā jo le ke mujhe ghar se chal paḌā

    sūrat ḳhizar thī na vo chehra ḳhizar thā

    dahlīz paar kar na sake aur lauT aa.e

    shāyad musāfiroñ ko ḳhatar bām-o-dar thā

    kachche makān jitne the bārish meñ bah ga.e

    varna jo merā dukh thā vo dukh umr bhar thā

    maiñ us galī se kaise guzartā jhukā ke sar

    āḳhir ko ye muāmla bhī sañg-o-sar thā

    logoñ ne ḳhud kaaT diye rāstoñ ke peḌ

    'aḳhtar' badaltī rut meñ ye hāsil nazar thā

    kya puchhte ho mujh se ki main kis nagar ka tha

    jalta hua charagh meri rah-guzar ka tha

    hum jab safar pe nikle the taron ki chhanw thi

    phir apne ham-rikab ujala sahar ka tha

    sahil ki gili ret ne baKHsha tha pairahan

    jaise samundaron ka safar chashm-e-tar ka tha

    chehre pe uDti gard thi baalon mein rakh thi

    shayad wo ham-safar mere ujDe nagar ka tha

    kya chiKHti hawaon se ahwal puchhta

    saya hi yaadgar mere ham-safar ka tha

    yaksaniyat thi kitni hamare wajud mein

    apna jo haal tha wahi aalam bhanwar ka tha

    wo kaun tha jo le ke mujhe ghar se chal paDa

    surat KHizar ki thi na wo chehra KHizar ka tha

    dahliz par kar na sake aur lauT aae

    shayad musafiron ko KHatar baam-o-dar ka tha

    kachche makan jitne the barish mein bah gae

    warna jo mera dukh tha wo dukh umr bhar ka tha

    main us gali se kaise guzarta jhuka ke sar

    aaKHir ko ye muamla bhi sang-o-sar ka tha

    logon ne KHud hi kaT diye raston ke peD

    'aKHtar' badalti rut mein ye hasil nazar ka tha

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now