Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

log subh o sham ki nairangiyan dekha kiye

Hasan Najmi Sikandarpuri

log subh o sham ki nairangiyan dekha kiye

Hasan Najmi Sikandarpuri

log sub.h o shaam nairañgiyāñ dekhā kiye

aur ham chup-chāp maazī ke nishāñ dekhā kiye

aql to kartī rahī dāmān-e-hastī chaak chaak

ham magar dast-e-junūñ meñ dhajjiyāñ dekhā kiye

ḳhanjaroñ thī numā.ish har galī har moḌ par

aur ham kamre meñ tasvīr-e-butāñ dekhā kiye

ham tan-āsānī ke ḳhūgar DhūñDte manzil kahāñ

duur se gard-e-rāh-e-kārvāñ dekhā kiye

ham ko is kyā ḳhabar gulshan gulshan jal gayā

ham to apnā sirf apnā āshiyāñ dekhā kiye

mausam-e-parvāz ne 'najmī' pukārā thā magar

par sameTe ham qafas tīliyāñ dekhā kiye

log subh o sham ki nairangiyan dekha kiye

aur hum chup-chap mazi ke nishan dekha kiye

aql to karti rahi daman-e-hasti chaak chaak

hum magar dast-e-junun mein dhajjiyan dekha kiye

KHanjaron ki thi numaish har gali har moD par

aur hum kamre mein taswir-e-butan dekha kiye

hum tan-asani ke KHugar DhunDte manzil kahan

dur hi se gard-e-rah-e-karwan dekha kiye

hum ko is ki kya KHabar gulshan ka gulshan jal gaya

hum to apna sirf apna aashiyan dekha kiye

mausam-e-parwaz ne 'najmi' pukara tha magar

par sameTe hum qafas ki tiliyan dekha kiye

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now