Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main chahta hun ki dil mein tera KHayal na ho

Jawad Sheikh

main chahta hun ki dil mein tera KHayal na ho

Jawad Sheikh

maiñ chāhtā huuñ ki dil meñ tirā ḳhayāl na ho

ajab nahīñ ki mirī zindagī vabāl na ho

maiñ chāhtā huuñ yak-dam chhoḌ jaa.e mujhe

ye har ghaḌī tire jaane ehtimāl na ho

maiñ chāhtā huuñ mohabbat pe ab baar aa.e

zavāl aisā ki jis ko kabhī zavāl na ho

maiñ chāhtā huuñ mohabbat sire se miT jaa.e

maiñ chāhtā huuñ use sochnā muhāl na ho

maiñ chāhtā huuñ mohabbat mujhe fanā kar de

fanā bhī aisā ki jis koī misāl na ho

maiñ chāhtā huuñ mohabbat mirā vo haal kare

ki ḳhvāb meñ bhī dobāra kabhī majāl na ho

maiñ chāhtā huuñ ki itnā rabt rah jaa.e

vo yaad aa.e magar bhūlnā muhāl na ho

maiñ chāhtā huuñ mirī āñkheñ noch jaa.eñ

tirā ḳhayāl kisī taur pā.emāl na ho

maiñ chāhtā huuñ ki maiñ zaḳhm zaḳhm ho jā.ūñ

aur is tarah ki kabhī ḳhauf-e-indimāl na ho

mirī misāl ho sab nigāh meñ 'javvād'

maiñ chāhtā huuñ kisī aur ye haal na ho

main chahta hun ki dil mein tera KHayal na ho

ajab nahin ki meri zindagi wabaal na ho

main chahta hun tu yak-dam hi chhoD jae mujhe

ye har ghaDi tere jaane ka ehtimal na ho

main chahta hun mohabbat pe ab ki bar aae

zawal aisa ki jis ko kabhi zawal na ho

main chahta hun mohabbat sire se miT jae

main chahta hun use sochna muhaal na ho

main chahta hun mohabbat mujhe fana kar de

fana bhi aisa ki jis ki koi misal na ho

main chahta hun mohabbat mera wo haal kare

ki KHwab mein bhi dobara kabhi majal na ho

main chahta hun ki itna hi rabt rah jae

wo yaad aae magar bhulna muhaal na ho

main chahta hun meri aankhen noch li jaen

tera KHayal kisi taur paemal na ho

main chahta hun ki main zaKHm zaKHm ho jaun

aur is tarah ki kabhi KHauf-e-indimal na ho

meri misal ho sab ki nigah mein 'jawwad'

main chahta hun kisi aur ka ye haal na ho

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now