Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main ham-nafasan jism hun wo jaan ki tarah tha

Sajjad Baqar Rizvi

main ham-nafasan jism hun wo jaan ki tarah tha

Sajjad Baqar Rizvi

maiñ ham-nafasāñ jism huuñ vo jaañ tarah thā

maiñ dard huuñ vo dard ke unvāñ tarah thā

kaun thā kyā thā ki baras guzre pa ab bhī

mahsūs ye hotā hai rag-e-jāñ tarah thā

jis ke liye kāñTā chubhā kartā thā dil meñ

pahlū meñ vo aayā to gulistāñ tarah thā

ik umr ulajhtā rahā duniyā havā se

kyā maiñ bhī tire kākul-e-pechāñ tarah thā

jiinā to ġhazab hai magar ai umr ajab hai

tujh ko to ḳhabar hai vo mirī jaañ tarah thā

ai raat ke añdhiyāre meñ jaage hue lamho!

DhūñDo use vo ḳhvāb-e-pareshāñ tarah thā

miTTī ko yahāñ paañv pakaḌnā nahīñ aatā

maiñ shahr meñ bhī gard ke tūfāñ tarah thā

lo harf-e-ġhazal ban ke numāyāñ huā 'bāqar'

kal ramz-sifat ma.anī-e-pinhāñ tarah thā

main ham-nafasan jism hun wo jaan ki tarah tha

main dard hun wo dard ke unwan ki tarah tha

tu kaun tha kya tha ki baras guzre pa ab bhi

mahsus ye hota hai rag-e-jaan ki tarah tha

jis ke liye kanTa sa chubha karta tha dil mein

pahlu mein wo aaya to gulistan ki tarah tha

ek umr ulajhta raha duniya ki hawa se

kya main bhi tere kakul-e-pechan ki tarah tha

jina to ghazab hai magar ai umr ajab hai

tujh ko to KHabar hai wo meri jaan ki tarah tha

ai raat ke andhiyare mein jage hue lamho!

DhunDo use wo KHwab-e-pareshan ki tarah tha

miTTi ko yahan panw pakaDna nahin aata

main shahr mein bhi gard ke tufan ki tarah tha

lo harf-e-ghazal ban ke numayan hua 'baqar'

kal ramz-sifat mani-e-pinhan ki tarah tha

Source :
  • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 113)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now