maine jab KHwab nahin dekha tha
maiñ ne jab ḳhvāb nahīñ dekhā thā
tujh ko betāb nahīñ dekhā thā
us ne sīmāb kahā thā mujh ko
maiñ ne sīmāb nahīñ dekhā thā
hijr kā baab hī kaafī thā hameñ
vasl kā baab nahīñ dekhā thā
chāñd meñ tū nazar aayā thā mujhe
maiñ ne mahtāb nahīñ dekhā thā
vo jo nāyāb huā jaatā hai
us ko kamyāb nahīñ dekhā thā
ek machhlī hī nazar aa.ī mujhe
maiñ ne tālāb nahīñ dekhā thā
main ne jab KHwab nahin dekha tha
tujh ko betab nahin dekha tha
us ne simab kaha tha mujh ko
main ne simab nahin dekha tha
hijr ka bab hi kafi tha hamein
wasl ka bab nahin dekha tha
chand mein tu nazar aaya tha mujhe
main ne mahtab nahin dekha tha
wo jo nayab hua jata hai
us ko kamyab nahin dekha tha
ek machhli hi nazar aai mujhe
main ne talab nahin dekha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.