makan se hoga kabhi la-makan se hoga
makāñ se hogā kabhī lā-makān se hogā
mirā ye ma.arka donoñ jahān se hogā
tū chhū sakegā bulandī kī kin manāzil ko
ye faisla tirī pahlī uḌaan se hogā
uThe haiñ us kī taraf kis liye ye haath mire
koī to rabt mirā āsmān se hogā
ye jañg jiit hai kis kī ye haar kis kī hai
ye faisla mirī TuuTī kamān se hogā
binā paḌegī judā.ī kī jis ko kahne se
adā vo lafz bhī merī zabān se hogā
makan se hoga kabhi la-makan se hoga
mera ye marka donon jahan se hoga
tu chhu sakega bulandi ki kin manazil ko
ye faisla teri pahli uDan se hoga
uThe hain us ki taraf kis liye ye hath mere
koi to rabt mera aasman se hoga
ye jang jit hai kis ki ye haar kis ki hai
ye faisla meri TuTi kaman se hoga
bina paDegi judai ki jis ko kahne se
ada wo lafz bhi meri zaban se hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.