Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mausam-e-gul bahaar ke din the

Tahir Azeem

mausam-e-gul bahaar ke din the

Tahir Azeem

mausam-e-gul bahār ke din the

jo tire mere pyaar ke din the

jo tire intizār meñ guzre

bas vahī intizār ke din the

jo bahut be-qarār rakhte the

haañ vahī to qarār ke din the

jin dinoñ dil pe iḳhtiyār na thā

kyā vahī iḳhtiyār ke din the

the muqayyad tirī mohabbat meñ

zindagī se farār ke din the

mausam-e-gul bahaar ke din the

jo tere mere pyar ke din the

jo tere intizar mein guzre

bas wahi intizar ke din the

jo bahut be-qarar rakhte the

han wahi to qarar ke din the

jin dinon dil pe iKHtiyar na tha

kya wahi iKHtiyar ke din the

the muqayyad teri mohabbat mein

zindagi se farar ke din the

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now