Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere lahu ki sarshaari kya uski faza bhi kitni der

Mohammad Ahmad Ramz

mere lahu ki sarshaari kya uski faza bhi kitni der

Mohammad Ahmad Ramz

MORE BYMohammad Ahmad Ramz

    mere lahū sarshārī kyā us fazā bhī kitnī der

    tere kaf-e-nāzuk pe rahegā rañg-e-hinā bhī kitnī der

    us nazar halkī jumbish kyā kyā jauhar rakhtī hai

    saktā hai tāb-e-tamāshā ā.īna bhī kitnī der

    ab ke vasl mausam yūñhī bechainī meñ biit gayā

    us ke hoñToñ par chāhat phuul khilā bhī kitnī der

    koī takallum koī ishāra koī aahaT paas nahīñ

    zinda rahe vīrāna-e-jāñ meñ dil sadā bhī kitnī der

    bikhrā diiñ atrāf-e-junūñ meñ kaisī kaisī ḳhushbueñ

    kūcha-e-yār meñ Thahrī hogī bād-e-sabā bhī kitnī der

    mere dil meñ gahrā.ī tak zaḳhm haiñ andhī ḳhvāhish ke

    aur abhī hoñToñ pe rahegā zahr-e-duā bhī kitnī der

    apnī ek adā rakhtī hai us ke ba.ad gudāzī bhī

    kuchh to socho us pe chalegā sehr-e-qabā bhī kitnī der

    aage dhund hai be-samtī pīchhe ġhubār-e-gum-shudagī

    mere sar meñ saath rahegī merī anā bhī kitnī der

    us ke taġhāful bhī bharam rakh us se itnī chheḌ na kar

    'ramz' barastī hai be-mausam koī ghaTā bhī kitnī der

    mere lahu ki sarshaari kya us ki faza bhi kitni der

    tere kaf-e-nazuk pe rahega rang-e-hina bhi kitni der

    us ki nazar ki halki si jumbish kya kya jauhar rakhti hai

    la sakta hai tab-e-tamasha aaina bhi kitni der

    ab ke wasl ka mausam yunhi bechaini mein bit gaya

    us ke honTon par chahat ka phul khila bhi kitni der

    koi takallum koi ishaara koi aahaT pas nahin

    zinda rahe virana-e-jaan mein dil ki sada bhi kitni der

    bikhra din atraf-e-junun mein kaisi kaisi KHushbuen

    kucha-e-yar mein Thahri hogi baad-e-saba bhi kitni der

    mere dil mein gahrai tak zaKHm hain andhi KHwahish ke

    aur abhi honTon pe rahega zahr-e-dua bhi kitni der

    apni ek ada rakhti hai us ke baad ki gudazi bhi

    kuchh to socho us pe chalega sehr-e-qaba bhi kitni der

    aage dhund hai be-samti ki pichhe ghubar-e-gum-shudagi

    mere sar mein sath rahegi meri ana bhi kitni der

    us ke taghaful ka bhi bharam rakh us se itni chheD na kar

    'ramz' barasti hai be-mausam koi ghaTa bhi kitni der

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now