mila jo dhup ka sahra badan shajar na bana
milā jo dhuup kā sahrā badan shajar na banā
maiñ vo huuñ ḳhud jo kabhī apnā ham-safar na banā
nagar nagar meñ na.ī bastiyāñ basā.ī ga.iiñ
hazār chāhā magar phir bhī apnā ghar na banā
ye baat baat hai dil kī to phir jhijak kaisī
ye naqsh naqsh-e-vafā hai tū soch kar na banā
chamakte din ke ujāloñ se āshnā ho kar
añdherī raat meñ saa.e ko ham-safar na banā
mila jo dhup ka sahra badan shajar na bana
main wo hun KHud jo kabhi apna ham-safar na bana
nagar nagar mein nai bastiyan basai gain
hazar chaha magar phir bhi apna ghar na bana
ye baat baat hai dil ki to phir jhijak kaisi
ye naqsh naqsh-e-wafa hai tu soch kar na bana
chamakte din ke ujalon se aashna ho kar
andheri raat mein sae ko ham-safar na bana
- Book : Hawa Ki Tahreer (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.