Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mera zamir bahut hai mujhe saza ke liye

Shaz Tamkanat

mera zamir bahut hai mujhe saza ke liye

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    mirā zamīr bahut hai mujhe sazā ke liye

    dost hai to nasīhat na kar ḳhudā ke liye

    vo kashtiyāñ mirī patvār jin ke TuuT ga.e

    vo bādbāñ jo taraste rahe havā ke liye

    bas ek huuk dil se uThe ghaTā tarah

    ki harf o saut zarūrī nahīñ duā ke liye

    jahāñ meñ rah ke jahāñ se barābarī ye choT

    ik imtihān-e-musalsal mirī anā ke liye

    namīda-ḳhū hai ye miTTī har ek mausam meñ

    zamīn-e-dil hai tarastī nahīñ ghaTā ke liye

    maiñ terā dost huuñ mujh se is tarah to na mil

    barat ye rasm kisī sūrat-āshnā ke liye

    milūñgā ḳhaak meñ ik roz biij ke mānind

    fanā pukār rahī hai mujhe baqā ke liye

    mah o sitāra o ḳhurshīd o charḳh haf-iqlīm

    ye ehtimām mire dast-e-nā-rasā ke liye

    jafā jafā agar hai to rañj kyā ho 'shāz'

    vafā pusht-panāhī bhī ho jafā ke liye

    mera zamir bahut hai mujhe saza ke liye

    tu dost hai to nasihat na kar KHuda ke liye

    wo kashtiyan meri patwar jin ke TuT gae

    wo baadban jo taraste rahe hawa ke liye

    bas ek huk si dil se uThe ghaTa ki tarah

    ki harf o saut zaruri nahin dua ke liye

    jahan mein rah ke jahan se barabari ki ye choT

    ek imtihan-e-musalsal meri ana ke liye

    namida-KHu hai ye miTTi har ek mausam mein

    zamin-e-dil hai tarasti nahin ghaTa ke liye

    main tera dost hun tu mujh se is tarah to na mil

    barat ye rasm kisi surat-ashna ke liye

    milunga KHak mein ek roz bij ke manind

    fana pukar rahi hai mujhe baqa ke liye

    mah o sitara o KHurshid o charKH haf-iqlim

    ye ehtimam mere dast-e-na-rasa ke liye

    jafa jafa hi agar hai to ranj kya ho 'shaz'

    wafa ki pusht-panahi bhi ho jafa ke liye

    Source :
    • Book : Kulliyat-e- Shaz Tamkanat (Pg. 434)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now