mere dil mein hai ki puchhun kabhi murshid-e-mughan se
mere dil mein hai ki puchhun kabhi murshid-e-mughan se
Abdul Majeed Salik
MORE BYAbdul Majeed Salik
mire dil meñ hai ki pūchhūñ kabhī murshid-e-muġhāñ se
ki milā jamāl-e-sāqī ko ye tantana kahāñ se
vo ye kah rahe haiñ ham ko tire haal kī ḳhabar kyā
tū uThā sakā nigāheñ na batā sakā zabāñ se
jo unheñ vafā kī sūjhī to na ziist ne vafā kī
abhī aa ke vo na baiThe ki ham uTh ga.e jahāñ se
maiñ 'adam ke lāla-zāroñ meñ navā-gar-e-azal thā
mujhe khīñch laa.ī zālim tirī aarzū kahāñ se
mirī sarnavisht meñ thā vahī dāġh-e-nā-murādī
jo milā mirī jabīñ ko tire sañg-e-āstāñ se
bache bijliyoñ kī zad se vahī tā.erān-e-dānā
jo kaḌak chamak se pahle nikal aa.e āshiyāñ se
ye hai mājrā-e-vahshat ki milā surāġh-e-mahmil
na ġhubār-e-kārvāñ se na darā-e-kārvāñ se
nahīñ kuchh samajh meñ aatā ye 'ajīb mājrā hai
ki zamīñ ke rahne vāloñ ko hidāyat āsmāñ se
shab-e-ġham jo aa.ī 'sālik' miTe bātinī añdhere
mirā dil huā munavvar tab-o-tāb-e-jāvedāñ se
mere dil mein hai ki puchhun kabhi murshid-e-mughan se
ki mila jamal-e-saqi ko ye tantana kahan se
wo ye kah rahe hain hum ko tere haal ki KHabar kya
tu uTha saka nigahen na bata saka zaban se
jo unhen wafa ki sujhi to na zist ne wafa ki
abhi aa ke wo na baiThe ki hum uTh gae jahan se
main 'adam ke lala-zaron mein nawa-gar-e-azal tha
mujhe khinch lai zalim teri aarzu kahan se
meri sarnawisht mein tha wahi dagh-e-na-muradi
jo mila meri jabin ko tere sang-e-astan se
bache bijliyon ki zad se wahi taeran-e-dana
jo kaDak chamak se pahle nikal aae aashiyan se
ye hai majra-e-wahshat ki mila suragh-e-mahmil
na ghubar-e-karwan se na dara-e-karwan se
nahin kuchh samajh mein aata ye 'ajib majra hai
ki zamin ke rahne walon ko hidayat aasman se
shab-e-gham jo aai 'salik' miTe baatini andhere
mera dil hua munawwar tab-o-tab-e-jawedan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.