miTa ke anjuman-e-arzu sada di hai
Interesting Fact
Gardbaad- Magazine
miTā ke anjuman-e-ārzū sadā dī hai
chale bhī aao ki har raushnī bujhā dī hai
gar ittifāq se paayā hai qatra-e-shabnam
samundaroñ ko mirī pyaas ne duā dī hai
hujūm-e-rāh-e-ravāñ rauñd kar guzartā hai
bisāt dil kī kahāñ ham ne ye bichhā dī hai
diloñ kā ḳhuuñ karo sālim rakho garebāñ ko
junūñ kī rasm zamāna huā uThā dī hai
na muḌ ke dekhegī duniyā maro na ghuT ghuT ke
ye hādsoñ pe hī bas chauñkne kī aadī hai
kisī kī jaan kā zāmin nahīñ yahāñ koī
amīn-e-shahr kī jānib se ye munādī hai
kaho jo kahnā hai kyā pās-e-dard 'qaisī' kā
ki us ne dil se vo buniyād hī miTā dī hai
miTa ke anjuman-e-arzu sada di hai
chale bhi aao ki har raushni bujha di hai
gar ittifaq se paya hai qatra-e-shabnam
samundaron ko meri pyas ne dua di hai
hujum-e-rah-e-rawan raund kar guzarta hai
bisat dil ki kahan hum ne ye bichha di hai
dilon ka KHun karo salim rakho gareban ko
junun ki rasm zamana hua uTha di hai
na muD ke dekhegi duniya maro na ghuT ghuT ke
ye hadson pe hi bas chaunkne ki aadi hai
kisi ki jaan ka zamin nahin yahan koi
amin-e-shahr ki jaanib se ye munadi hai
kaho jo kahna hai kya pas-e-dard 'qaisi' ka
ki us ne dil se wo buniyaad hi miTa di hai
- Book : Sher-o-Hikmat (Pg. 863)
- Author : Shahryar, Mughni, Tabassum
- Publication : Maktaba-e-Sher-O-Hikmat (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.