miTTi se kuchh KHwab ugane aaya hun
miTTī se kuchh ḳhvāb ugāne aayā huuñ
maiñ dhartī kā giit sunāne aayā huuñ
tū ne dariyāoñ meñ diye bahā.e haiñ
maiñ bhī apne hoñT jalāne aayā huuñ
tujh se merā rishta bahut purānā hai
maiñ duniyā meñ tere bahāne aayā huuñ
ab ke baar maiñ tujh se milne nahīñ aayā
tujh ko apne saath le jaane aayā huuñ
chaar diye terī dahlīz pe raushan haiñ
ek diyā maiñ aur jalāne aayā huuñ
tū ne teġh se lahū kī buuñd girā.ī thī
maiñ dhartī se phuul uThāne aayā huuñ
miTTi se kuchh KHwab ugane aaya hun
main dharti ka git sunane aaya hun
tu ne dariyaon mein diye bahae hain
main bhi apne honT jalane aaya hun
tujh se mera rishta bahut purana hai
main duniya mein tere bahane aaya hun
ab ke bar main tujh se milne nahin aaya
tujh ko apne sath le jaane aaya hun
chaar diye teri dahliz pe raushan hain
ek diya main aur jalane aaya hun
tu ne tegh se lahu ki bund girai thi
main dharti se phul uThane aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.