Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe tum shohraton ke darmiyan gumnam likh dena

Zubair Rizvi

mujhe tum shohraton ke darmiyan gumnam likh dena

Zubair Rizvi

MORE BYZubair Rizvi

    mujhe tum shohratoñ ke darmiyāñ gumnām likh denā

    jahāñ dariyā mile be-āb merā naam likh denā

    ye saarā hijr mausam ye saarī ḳhāna-vīrānī

    ise ai zindagī mere junūñ ke naam likh denā

    tum apne chāñd taare kahkashāñ chāhe jise denā

    mirī āñkhoñ pe apnī diid ik shaam likh denā

    mire andar panāheñ DhūñDtī phirtī hai ḳhāmoshī

    lab-e-goyā mire andar bhī ik kohrām likh denā

    vo mausam chukā jis meñ parinde chahchahāte the

    ab in peḌoñ shāḳhoñ par sukūt-e-shām likh denā

    shabistānoñ meñ lau dete hue kundan se jismoñ par

    havā uñgliyoñ se vasl paiġhām likh denā

    mujhe tum shohraton ke darmiyan gumnam likh dena

    jahan dariya mile be-ab mera nam likh dena

    ye sara hijr ka mausam ye sari KHana-virani

    ise ai zindagi mere junun ke nam likh dena

    tum apne chand tare kahkashan chahe jise dena

    meri aankhon pe apni did ki ek sham likh dena

    mere andar panahen DhunDti phirti hai KHamoshi

    lab-e-goya mere andar bhi ek kohram likh dena

    wo mausam ja chuka jis mein parinde chahchahate the

    ab in peDon ki shaKHon par sukut-e-sham likh dena

    shabistanon mein lau dete hue kundan se jismon par

    hawa ki ungliyon se wasl ka paigham likh dena

    Source :
    • Book : Sang-ge-Sada (Pg. 250)
    • Author : Zubair Razvi
    • Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
    • Edition : 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now