aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe zindagi se KHiraj hi nahin mil raha

Tariq Naeem

mujhe zindagi se KHiraj hi nahin mil raha

Tariq Naeem

MORE BYTariq Naeem

    mujhe zindagī se ḳhirāj nahīñ mil rahā

    abhī us se merā mizāj nahīñ mil rahā

    maiñ banā rahā huuñ ḳhayāl-o-ḳhvāb bandisheñ

    mirī bandishoñ ko rivāj nahīñ mil rahā

    mujhe saltanat to milī huī hai jamāl

    kisī ishq koī taaj nahīñ mil rahā

    mujhe milne aa.egā shaam ko mirā ham-suḳhan

    mirā ā.īna mujhe aaj nahīñ mil rahā

    mire chārāgar ko paḌī huī hai ilaaj

    mujhe is koī ilaaj nahīñ mil rahā

    mile kārvāñ ye bahut duur baat hai

    abhī kārvāñ mizāj nahīñ mil rahā

    abhī phir rahā huuñ maiñ āp-apnī talāsh meñ

    abhī mujh se merā mizāj nahīñ mil rahā

    mujhe zindagi se KHiraj hi nahin mil raha

    abhi us se mera mizaj hi nahin mil raha

    main bana raha hun KHayal-o-KHwab ki bandishen

    meri bandishon ko riwaj hi nahin mil raha

    mujhe saltanat to mili hui hai jamal ki

    kisi ishq ka koi taj hi nahin mil raha

    mujhe milne aaega sham ko mera ham-suKHan

    mera aaina mujhe aaj hi nahin mil raha

    mere chaaragar ko paDi hui hai ilaj ki

    mujhe is ka koi ilaj hi nahin mil raha

    mile karwan ye bahut hi dur ki baat hai

    abhi karwan ka mizaj hi nahin mil raha

    abhi phir raha hun main aap-apni talash mein

    abhi mujh se mera mizaj hi nahin mil raha

    Source:

    ruki huii shamon kii raahdaariyaz (Pg. 149)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now