Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na ho gar dhyan mein chehra kisi ka

Rahman Khawar

na ho gar dhyan mein chehra kisi ka

Rahman Khawar

na ho gar dhyān meñ chehra kisī

bahut mushkil safar hai zindagī

galī-kūche bahut raushan haiñ lekin

gharoñ meñ mas.ala hai raushnī

chunūñ palkoñ se kab tak sañg-reze

ḳhudāvandā koī aañsū ḳhushī

zamīñ sadiyoñ purānī ho chukī hai

sahegī bojh kab tak aadmī

na-jāne aur kitnā fāsla hai

hamārī zindagī se zindagī

koī ḳhud se mujhe kamtar samajh le

ye matlab bhī nahīñ hai ājizī

talab ne chhīn bīnā.ī ḳhāvar

karūñ kyā raah maiñ raushnī

na ho gar dhyan mein chehra kisi ka

bahut mushkil safar hai zindagi ka

gali-kuche bahut raushan hain lekin

gharon mein masala hai raushni ka

chunun palkon se kab tak sang-reze

KHudawanda koi aansu KHushi ka

zamin sadiyon purani ho chuki hai

sahegi bojh kab tak aadmi ka

na-jaane aur kitna fasla hai

hamari zindagi se zindagi ka

koi KHud se mujhe kamtar samajh le

ye matlab bhi nahin hai aajizi ka

talab ne chhin li binai KHawar

karun kya rah ki main raushni ka

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now