Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naqsh-e-dil hai sitam judai ka

Abdul Ghafoor Nassakh

naqsh-e-dil hai sitam judai ka

Abdul Ghafoor Nassakh

MORE BYAbdul Ghafoor Nassakh

  naqsh-e-dil hai sitam judā.ī

  shauq phir kis ko āshnā.ī

  chakhte haiñ ab mazā judā.ī

  ye natīja hai āshnā.ī

  un ke dil kudūrat aur baḌhī

  zikr kījiye agar safā.ī

  dekh to sañg-e-āstāñ pe tire

  hai nishāñ kis jab.ha-sā.ī

  tere dar gadā jo hai ai dost

  aish kartā hai bādshā.ī

  duḳhtar-e-raz ne kar diyā bātil

  mujh ko daavā thā pārsā.ī

  karte haiñ ahl-e-āsmāñ charchā

  mere nāloñ nā-rasā.ī

  kaaT Daalo agar zabāñ pe mire

  harf aayā ho āshnā.ī

  kar ke sadqe na chhoḌ deñ 'nassāḳh'

  dil ko dhaḌkā hai kyuuñ rihā.ī

  naqsh-e-dil hai sitam judai ka

  shauq phir kis ko aashnai ka

  chakhte hain ab maza judai ka

  ye natija hai aashnai ka

  un ke dil ki kudurat aur baDhi

  zikr kijiye agar safai ka

  dekh to sang-e-astan pe tere

  hai nishan kis ki jabha-sai ka

  tere dar ka gada jo hai ai dost

  aish karta hai baadshai ka

  duKHtar-e-raz ne kar diya baatil

  mujh ko dawa tha parsai ka

  karte hain ahl-e-asman charcha

  mere nalon ki na-rasai ka

  kaT Dalo agar zaban pe mere

  harf aaya ho aashnai ka

  kar ke sadqe na chhoD den 'nassaKH'

  dil ko dhaDka hai kyun rihai ka

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque,

  Nomaan Shauque

  naqsh-e-dil hai sitam judai ka Nomaan Shauque

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now