Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar hai jalwa-e-jaanan hai dekhiye kya ho

Qamar Moradabadi

nazar hai jalwa-e-jaanan hai dekhiye kya ho

Qamar Moradabadi

nazar hai jalva-e-jānāñ hai dekhiye kyā ho

shikast-e-ishq imkāñ hai dekhiye kyā ho

abhī bahār-e-guzishta ġham miTā bhī nahīñ

phir ehtimām-e-bahārāñ hai dekhiye kyā ho

qadam uThe bhī nahīñ bazm-e-nāz jānib

ḳhayāl abhī se pareshāñ hai dekhiye kyā ho

kisī raah meñ kāñTe kisī raah meñ phuul

hamārī raah meñ tūfāñ hai dekhiye kyā ho

ḳhirad zor hai ārā.ish-e-gulistāñ par

junūñ harīf-e-bahārāñ hai dekhiye kyā ho

jis ek shāḳh pe buniyād hai nasheman

vo ek shāḳh bhī larzāñ hai dekhiye kyā ho

hai aaj bazm meñ phir izn-e-ām saaqī

'qamar' hunūz musalmāñ hai dekhiye kyā ho

nazar hai jalwa-e-jaanan hai dekhiye kya ho

shikast-e-ishq ka imkan hai dekhiye kya ho

abhi bahaar-e-guzishta ka gham miTa bhi nahin

phir ehtimam-e-bahaaran hai dekhiye kya ho

qadam uThe bhi nahin bazm-e-naz ki jaanib

KHayal abhi se pareshan hai dekhiye kya ho

kisi ki rah mein kanTe kisi ki rah mein phul

hamari rah mein tufan hai dekhiye kya ho

KHirad ka zor hai aaraish-e-gulistan par

junun harif-e-bahaaran hai dekhiye kya ho

jis ek shaKH pe buniyaad hai nasheman ki

wo ek shaKH bhi larzan hai dekhiye kya ho

hai aaj bazm mein phir izn-e-am saqi ka

'qamar' hunuz musalman hai dekhiye kya ho

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

nazar hai jalwa-e-jaanan hai dekhiye kya ho Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now