Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah-o-dil ka afsana qarib-e-iKHtitam aaya

Anand Narayan Mulla

nigah-o-dil ka afsana qarib-e-iKHtitam aaya

Anand Narayan Mulla

Interesting Fact

January 1949

nigāh-o-dil afsāna qarīb-e-iḳhtitām aayā

hameñ ab is se kyā aa.ī sahar vaqt-e-shām aayā

zabān-e-ishq par ik chīḳh ban kar terā naam aayā

ḳhirad manzileñ tai ho chukīñ dil maqām aayā

uThānā hai jo patthar rakh ke siine par vo gaam aayā

mohabbat meñ tirī tark-e-mohabbat maqām aayā

use aañsū na kah ik yād-e-ayyām-e-guzishta hai

mirī umr-e-ravāñ ko umr-e-rafta salām aayā

zarā lau aur dil tez kar siilā ye sho.ala

na raushan kar sakā ghar ko na mahfil ke kaam aayā

nizām-e-mai-kada saaqī badalne zarūrat hai

hazāroñ haiñ safeñ jin meñ na mai aa.ī na jaam aayā

abhī tak said-e-yazdāñ-o-sanam aulād-e-ādam hai

bashar insāñ nahīñ rahtā jahāñ īmāñ naam aayā

bahār aate ḳhūñ-rezī huī vo sehn-e-gulshan meñ

ḳhajil kāñTe the yuuñ phūloñ ko josh-e-intiqām aayā

bhulā.e ābla-pāoñ ko baiThe the chaman vaale

garajtī āñdhiyāñ aa.iiñ ki sahrā salām aayā

sahar huur ke kyā kyā ne dekhe ḳhvāb duniyā ne

magar ta.abīr jab DhūñDī vahī ifrīt-e-shām aayā

kabhī shāyad usī se rañg-e-firdaus-e-bashar paa.e

abhī tak to lahū insāñ shaitāñ ke kaam aayā

mukammal tabsira kartā huā ayyām-e-rafta par

nigāh-e-be-suḳhan meñ ek ashk-e-be-kalām aayā

tavānā ko bahāna chāhiye shāyad tashaddud

phir ik majbūr par shorīdgī ittihām aayā

na jaane kitnī sham.eñ gul huiiñ kitne bujhe taare

tab ik ḳhurshed itrātā huā bālā-e-bām aayā

barahman āb-e-gañgā shaiḳh kausar le uḌā is se

tire hoñToñ ko jab chhūtā huā 'mullā' jaam aayā

nigah-o-dil ka afsana qarib-e-iKHtitam aaya

hamein ab is se kya aai sahar ya waqt-e-sham aaya

zaban-e-ishq par ek chiKH ban kar tera nam aaya

KHirad ki manzilen tai ho chukin dil ka maqam aaya

uThana hai jo patthar rakh ke sine par wo gam aaya

mohabbat mein teri tark-e-mohabbat ka maqam aaya

use aansu na kah ek yaad-e-ayyam-e-guzishta hai

meri umr-e-rawan ko umr-e-rafta ka salam aaya

zara lau aur dil ki tez kar sila sa ye shoala

na raushan kar saka ghar ko na mahfil hi ke kaam aaya

nizam-e-mai-kada saqi badalne ki zarurat hai

hazaron hain safen jin mein na mai aai na jam aaya

abhi tak said-e-yazdan-o-sanam aulad-e-adam hai

bashar insan nahin rahta jahan iman ka nam aaya

bahaar aate hi KHun-rezi hui wo sehn-e-gulshan mein

KHajil kanTe the yun phulon ko josh-e-intiqam aaya

bhulae aabla-paon ko baiThe the chaman wale

garajti aandhiyan aain ki sahra ka salam aaya

sahar ki hur ke kya kya ne dekhe KHwab duniya ne

magar tabir jab DhunDi wahi ifrit-e-sham aaya

kabhi shayad usi se rang-e-firdaus-e-bashar pae

abhi tak to lahu insan ka shaitan hi ke kaam aaya

mukammal tabsira karta hua ayyam-e-rafta par

nigah-e-be-suKHan mein ek ashk-e-be-kalam aaya

tawana ko bahana chahiye shayad tashaddud ka

phir ek majbur par shoridgi ka ittiham aaya

na jaane kitni shamen gul huin kitne bujhe tare

tab ek KHurshed itraata hua baala-e-baam aaya

barahman aab-e-ganga shaiKH kausar le uDa is se

tere honTon ko jab chhuta hua 'mulla' ka jam aaya

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 339)
  • Author : Khaliq Anjum
  • Publication : National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL (2010)
  • Edition : 2010
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now