nind jab KHwab ko pukarti hai
niiñd jab ḳhvāb ko pukārtī hai
raat apnā libās utārtī hai
maiñ use kaise jiit saktā huuñ
vo mujhe apnā jism hārtī hai
maiñ diyā haath par utārtā huuñ
aur diye par vo lau utārtī hai
maiñ akelā use pukārtā thā
ab havā bhī use pukārtī hai
vo mire saath nīm-ḳhvābī meñ
raat kī tarah din guzārtī hai
kuchh to vo bhīgtī hai bārish meñ
kuchh havā bhī use sañvārtī hai
mom-battī sī uñgliyoñ ke saath
vo mirā bhīgā coat utārtī hai
mere hoñToñ kī tishnagī 'qaisar'
surḳhī lab se wip nikhārtī hai
nind jab KHwab ko pukarti hai
raat apna libas utarti hai
main use kaise jit sakta hun
wo mujhe apna jism haarti hai
main diya hath par utarta hun
aur diye par wo lau utarti hai
main akela use pukarta tha
ab hawa bhi use pukarti hai
wo mere sath nim-KHwabi mein
raat ki tarah din guzarti hai
kuchh to wo bhigti hai barish mein
kuchh hawa bhi use sanwarti hai
mom-batti si ungliyon ke sath
wo mera bhiga coat utarti hai
mere honTon ki tishnagi 'qaisar'
surKHi lab se wip nikhaarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.