panw mara tha pahaDon pe to pani nikla
paañv maarā thā pahāḌoñ pe to paanī niklā
ye vahī jism kā aahan hai ki miTTī niklā
mere ham-rāh vahī tohmat-e-āzādī hai
merā har ahd vahī ahd-e-asīrī niklā
ek chehra thā ki ab yaad nahīñ aatā hai
ek lamha thā vahī jaan kā bairī niklā
ek maat aisī hai jo saath chalī aatī hai
varna har chaal se jiite hue baazī niklā
mauj kī tarah bahā dard ke dariyāoñ meñ
is tarah zinda bachā kaun magar jī niklā
maiñ ajab dekhne vaalā huuñ ki andhā kahlā.ūñ
vo ajab ḳhaak kā putlā thā ki nuurī niklā
jaan pyārī thī magar jaan se be-zārī thī
jaan kā kaam faqat jān-faroshī niklā
ḳhaak maiñ us kī judā.ī meñ pareshān phirūñ
jab ki ye milnā bichhaḌnā mirī marzī niklā
sirf ronā hai ki jiinā paḌā halkā ban ke
vo to ehsās kī mīzān pe bhārī niklā
ik na.e naam se phir apne sitāre uljhe
ye nayā khel na.e ḳhvāb kā baanī niklā
vo mirī ruuh kī uljhan kā sabab jāntā hai
jism kī pyaas bujhāne pe bhī raazī niklā
merī bujhtī huī āñkhoñ se kiran chuntā hai
merī āñkhoñ kā khañDar shahr-e-ma.ānī niklā
merī ayyār nigāhoñ se vafā māñgtā hai
vo bhī mohtāj milā vo bhī savālī niklā
maiñ use DhūñD rahā thā ki talāsh apnī thī
ik chamaktā huā jazba thā ki ja.alī niklā
maiñ ne chāhā thā ki ashkoñ kā tamāshā dekhūñ
aur āñkhoñ kā ḳhazāna thā ki ḳhālī niklā
ik na.ī dhuup meñ phir apnā safar jaarī hai
vo ghanā saaya faqat tifl-e-tasallī niklā
maiñ bahut tez chalā apnī tabāhī kī taraf
us ke chhuTne kā sabab narm-ḳhirāmī niklā
ruuh kā dasht vahī jism kā vīrāna hai
har nayā raaz purānā lagā baasī niklā
sirf hashmat kī talab jaah kī ḳhvāhish paa.ī
dil ko be-dāġh samajhtā thā jazāmī niklā
ik balā aatī hai aur log chale jaate haiñ
ik sadā kahtī hai har aadmī faanī niklā
maiñ vo murda huuñ ki āñkheñ mirī zindoñ jaisī
bain kartā huuñ ki maiñ apnā hī saanī niklā
panw mara tha pahaDon pe to pani nikla
ye wahi jism ka aahan hai ki miTTi nikla
mere ham-rah wahi tohmat-e-azadi hai
mera har ahd wahi ahd-e-asiri nikla
ek chehra tha ki ab yaad nahin aata hai
ek lamha tha wahi jaan ka bairi nikla
ek mat aisi hai jo sath chali aati hai
warna har chaal se jite hue bazi nikla
mauj ki tarah baha dard ke dariyaon mein
is tarah zinda bacha kaun magar ji nikla
main ajab dekhne wala hun ki andha kahlaun
wo ajab KHak ka putla tha ki nuri nikla
jaan pyari thi magar jaan se be-zari thi
jaan ka kaam faqat jaan-faroshi nikla
KHak main us ki judai mein pareshan phirun
jab ki ye milna bichhaDna meri marzi nikla
sirf rona hai ki jina paDa halka ban ke
wo to ehsas ki mizan pe bhaari nikla
ek nae nam se phir apne sitare uljhe
ye naya khel nae KHwab ka bani nikla
wo meri ruh ki uljhan ka sabab jaanta hai
jism ki pyas bujhane pe bhi raazi nikla
meri bujhti hui aankhon se kiran chunta hai
meri aankhon ka khanDar shahr-e-maani nikla
meri ayyar nigahon se wafa mangta hai
wo bhi mohtaj mila wo bhi sawali nikla
main use DhunD raha tha ki talash apni thi
ek chamakta hua jazba tha ki jali nikla
main ne chaha tha ki ashkon ka tamasha dekhun
aur aankhon ka KHazana tha ki KHali nikla
ek nai dhup mein phir apna safar jari hai
wo ghana saya faqat tifl-e-tasalli nikla
main bahut tez chala apni tabahi ki taraf
us ke chhuTne ka sabab narm-KHirami nikla
ruh ka dasht wahi jism ka virana hai
har naya raaz purana laga basi nikla
sirf hashmat ki talab jah ki KHwahish pai
dil ko be-dagh samajhta tha jazami nikla
ek bala aati hai aur log chale jate hain
ek sada kahti hai har aadmi fani nikla
main wo murda hun ki aankhen meri zindon jaisi
bain karta hun ki main apna hi sani nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.