pankhuDi koi gulistan se saba kya lai
pañkhuḌī koī gulistāñ se sabā kyā laa.ī
duur tak nik.hat-e-gul ḳhaak uḌātī aa.ī
uf vo begāna nigāhoñ kī karam-farmā.ī
fitrat-e-ishq ba-andāz-e-junūñ tharrā.ī
taaza taaza vo shikast-e-suḳhan-e-ra.anā.ī
chup hue vo to tabassum kī jhalak sī aa.ī
āḳhir-e-shab vo sitāroñ kī saraktī huī chhāñv
maiñ vahīñ baiTh gayā raat jahāñ lahrā.ī
jaagī jaagī huī palkeñ vo ba-āġhosh-e-jamāl
dil ko ārām ziyāda thā to kam niiñd aa.ī
vaqt ne zarf-e-nazar ko lab-e-mai-ḳhvār kiyā
tishnagī shīshe ko paimāna banā kar laa.ī
zindagī ek hujūm-e-guzarāñ hai lekin
aadmī apnī jagah ālam-e-sad-tanhā.ī
apne hī sho.la-e-rañgīñ se jalā dāman-e-gul
apnī hī shāḳh-e-tabassum pe kalī murjhā.ī
manzil-e-aql junūñ rañg use miltī hai
jis ne ik baar rah-e-ishq meñ Thokar khaa.ī
patte patte kā nahīñ gulshan-e-ālam meñ javāb
zarre zarre meñ dhaḌaktā hai dil-e-yaktā.ī
TūTtī sī rag-e-daurāñ ye taraqqī kī thakan
kisī ma.ashūq-e-sahar-ḳhez kī nīm-añgḌā.ī
ḳhaak aur ḳhuun se ik sham.a jalā.ī hai 'nushūr'
maut se ham ne bhī sīkhī hai hayāt-ārā.ī
pankhuDi koi gulistan se saba kya lai
dur tak nikhat-e-gul KHak uDati aai
uf wo begana nigahon ki karam-farmai
fitrat-e-ishq ba-andaz-e-junun tharrai
taza taza wo shikast-e-suKHan-e-ranai
chup hue wo to tabassum ki jhalak si aai
aaKHir-e-shab wo sitaron ki sarakti hui chhanw
main wahin baiTh gaya raat jahan lahrai
jagi jagi hui palken wo ba-aghosh-e-jamal
dil ko aaram ziyaada tha to kam nind aai
waqt ne zarf-e-nazar ko lab-e-mai-KHwar kiya
tishnagi shishe ko paimana bana kar lai
zindagi ek hujum-e-guzaran hai lekin
aadmi apni jagah aalam-e-sad-tanhai
apne hi shola-e-rangin se jala daman-e-gul
apni hi shaKH-e-tabassum pe kali murjhai
manzil-e-aql junun rang use milti hai
jis ne ek bar rah-e-ishq mein Thokar khai
patte patte ka nahin gulshan-e-alam mein jawab
zarre zarre mein dhaDakta hai dil-e-yaktai
TuTti si rag-e-dauran ye taraqqi ki thakan
kisi mashuq-e-sahar-KHez ki nim-angDai
KHak aur KHun se ek shama jalai hai 'nushur'
maut se hum ne bhi sikhi hai hayat-arai
- Book : Sawad-e-manzil (Pg. 188)
- Author : Nushoor wahedi
- Publication : Sarvat Wahidi D/o Nushoor wahedi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.