Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

prit-nagar ki rit nahin hai aisa ochha-pan baba

Ilyas Ishqi

prit-nagar ki rit nahin hai aisa ochha-pan baba

Ilyas Ishqi

MORE BYIlyas Ishqi

    prīt-nagar riit nahīñ hai aisā ochhā-pan baabā

    itnī sudh-budh kis ko yahāñ jo soche tan-man-dhan baabā

    un koī Thor nahīñ hai sāñjh kahīñ haiñ bhor kahīñ

    priit ke roge banjāre haiñ bastī ho ban baabā

    laakh jatan se juḌ na sakegā pahle batā.e dete haiñ

    TuuT gayā to TuuT gayā bas man ye darpan baabā

    us bālak-haT ke aage ghar chhoḌā bairāg liyā

    dekheñ kyā din dikhlātā hai ab ye mūrakh man baabā

    biin jo apne paas na hotī ham jogī bhī bhaTak jaate

    kyā kyā ruup badal kar aa.ī maayā nāgan baabā

    ham jo magan haiñ dhyān meñ apne us ko bhī dhokā jaano

    kis se suljhī saañs ke tāne-bāne uljhan baabā

    ab dukh-sukh bhed batāne aa.e ho jab 'ishqī'

    priit dharm hai priit karam hai priit se hai jīvan baabā

    prit-nagar ki rit nahin hai aisa ochha-pan baba

    itni sudh-budh kis ko yahan jo soche tan-man-dhan baba

    un ki koi Thor nahin hai sanjh kahin hain bhor kahin

    prit ke roge banjare hain basti ho ya ban baba

    lakh jatan se juD na sakega pahle batae dete hain

    TuT gaya to TuT gaya bas man ka ye darpan baba

    us ki baalak-haT ke aage ghar chhoDa bairag liya

    dekhen kya din dikhlata hai ab ye murakh man baba

    bin jo apne pas na hoti hum jogi bhi bhaTak jate

    kya kya rup badal kar aai maya ki nagan baba

    hum jo magan hain dhyan mein apne us ko bhi dhoka jaano

    kis se suljhi sans ke tane-bane ki uljhan baba

    ab dukh-sukh ka bhed batane aae ho jab 'ishqi' ka

    prit dharm hai prit karam hai prit se hai jiwan baba

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now