rah pur-Khaar hai kya hona hai
raah pur-ḳhār hai kyā honā hai
paañv afgār hai kyā honā hai
kaam zindāñ ke kiye aur hameñ
shauq-e-gulzār hai kyā honā hai
jaan halkān huī jaatī hai
baar sā baar hai kyā honā hai
paar jaanā hai nahīñ miltī naav
zor par dhaar hai kyā honā hai
raushnī kī hameñ aadat aur ghar
tīra-o-tār hai kyā honā hai
beach meñ aag kā dariyā haa.el
qasd us paar hai kyā honā hai
saath vāloñ ne yahīñ chhoḌ diyā
be-kasī yaar hai kyā honā hai
āḳhirī diid hai aao mil leñ
rañj be-kār hai kyā honā hai
dil hameñ tum se lagānā hī na thā
ab safar baar hai kyā honā hai
kyuuñ 'razā' kuḌhte ho hañste uTTho
jab vo ġhaffār hai kyā honā hai
rah pur-KHar hai kya hona hai
panw afgar hai kya hona hai
kaam zindan ke kiye aur hamein
shauq-e-gulzar hai kya hona hai
jaan halkan hui jati hai
bar sa bar hai kya hona hai
par jaana hai nahin milti naw
zor par dhaar hai kya hona hai
raushni ki hamein aadat aur ghar
tira-o-tar hai kya hona hai
beach mein aag ka dariya hael
qasd us par hai kya hona hai
sath walon ne yahin chhoD diya
be-kasi yar hai kya hona hai
aaKHiri did hai aao mil len
ranj be-kar hai kya hona hai
dil hamein tum se lagana hi na tha
ab safar bar hai kya hona hai
kyun 'raza' kuDhte ho hanste uTTho
jab wo ghaffar hai kya hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.