raat ki raat paDaw ka mela coach ki dhul sawere
Interesting Fact
Tumult of life
raat kī raat paḌāv kā mela coach kī dhuul savere
mahal makān kuTiyā chhappar sab banjāroñ ke Dere
sūraj Dhalte hī galiyoñ meñ fitne jaag uThte haiñ
rayan nahīñ jab apne bas meñ kaise rain-basere
vo to ham se saada diloñ kā hashr yahī honā thā
varna tum se tark-e-vafā ke hiile the bahutere
jaan bachegī to pahuñcheñge dād-rasoñ ke ghar tak
galī galī meñ moḌ moḌ par Thag haiñ rasta ghere
chal 'qaisī' mele meñ chal kyā ronā tanhā.ī kā
koī nahīñ jab terā merā sab mere sab tere
raat ki raat paDaw ka mela coach ki dhul sawere
mahal makan kuTiya chhappar sab banjaron ke Dere
suraj Dhalte hi galiyon mein fitne jag uThte hain
rayan nahin jab apne bas mein kaise rain-basere
wo to hum se sada dilon ka hashr yahi hona tha
warna tum se tark-e-wafa ke hile the bahutere
jaan bachegi to pahunchenge dad-rason ke ghar tak
gali gali mein moD moD par Thag hain rasta ghere
chal 'qaisi' mele mein chal kya rona tanhai ka
koi nahin jab tera mera sab mere sab tere
- Book : Sher-o-Hikmat (Pg. 868)
- Author : Shahryar, Mughni, Tabassum
- Publication : Maktaba-e-Sher-O-Hikmat (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.