raushan kar ke uske nam ki lau dil mein
raushan kar ke us ke naam kī lau dil meñ
maiñ ne bhī us ko Daal diyā ik mushkil meñ
ye āvāzeñ merī hī paidā-karda haiñ
guuñj rahā huuñ maiñ duniyā ke har dil meñ
maiñ bhī aañkh kī oT meñ chhup ke baiThā thā
vo bhī DhūñD rahā thā mujh ko mahfil meñ
chuum rahā huuñ us ke ik ik vaar ko maiñ
jaane maiñ ne dekh liyā kyā qātil meñ
is ko lahū kahūñ yā naqsh-e-shola-e-jāñ
bas ik mauj-e-sarāb thī raqsāñ is dil meñ
us ko khonā asl meñ us ko paanā hai
hāsil kā hī partav hai lā-hāsil meñ
ye asrār khulā bhī to jaañ dene par
'tūr' nihāñ thā maiñ bhī kahīñ us ke dil meñ
raushan kar ke us ke nam ki lau dil mein
main ne bhi us ko Dal diya ek mushkil mein
ye aawazen meri hi paida-karda hain
gunj raha hun main duniya ke har dil mein
main bhi aankh ki oT mein chhup ke baiTha tha
wo bhi DhunD raha tha mujh ko mahfil mein
chum raha hun us ke ek ek war ko main
jaane main ne dekh liya kya qatil mein
is ko lahu kahun ya naqsh-e-shola-e-jaan
bas ek mauj-e-sarab thi raqsan is dil mein
us ko khona asl mein us ko pana hai
hasil ka hi partaw hai la-hasil mein
ye asrar khula bhi to jaan dene par
'tur' nihan tha main bhi kahin us ke dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.