Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabab uski pareshani ka main hun

Khurshid Talab

sabab uski pareshani ka main hun

Khurshid Talab

MORE BYKhurshid Talab

    sabab us pareshānī maiñ huuñ

    namak fasl vo paanī maiñ huuñ

    ye jangal mujh ko raas aanā nahīñ hai

    parinda dasht-e-imkānī maiñ huuñ

    mirī mushkil mirī mushkil nahīñ hai

    vasīla terī āsānī maiñ huuñ

    mujhe duniyā luTā degī koī din

    asāsa ālam-e-fānī maiñ huuñ

    abhī sāhil mirā rasta na dekhe

    abhī dariyā tuġhyānī maiñ huuñ

    vahīñ mujh ko supurd-e-ḳhāk karnā

    ki jis ḳhāk-e-bayābānī maiñ huuñ

    mire hone kuchh matlab to hogā

    to kyā bekār be-ma.anī maiñ huuñ

    faqīrāna tabī'at huuñ varna

    'talab' haqdār sultānī maiñ huuñ

    sabab us ki pareshani ka main hun

    namak ki fasl wo pani ka main hun

    ye jangal mujh ko ras aana nahin hai

    parinda dasht-e-imkani ka main hun

    meri mushkil meri mushkil nahin hai

    wasila teri aasani ka main hun

    mujhe duniya luTa degi koi din

    asasa aalam-e-fani ka main hun

    abhi sahil mera rasta na dekhe

    abhi dariya ki tughyani ka main hun

    wahin mujh ko supurd-e-KHak karna

    ki jis KHak-e-bayabani ka main hun

    mere hone ka kuchh matlab to hoga

    to kya bekar be-mani ka main hun

    faqirana tabi'at ka hun warna

    'talab' haqdar sultani ka main hun

    RECITATIONS

    Khurshid Talab

    Khurshid Talab,

    Khurshid Talab

    sabab uski pareshani ka main hun Khurshid Talab

    Source :
    • Book : Jahaan Gard (Pg. 25)
    • Author : Khurshid Talab
    • Publication : Adabistan Publications (2012)
    • Edition : 2012

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now