Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sapne ki wadi ko taj kar rup-nagar mein aaya kar

Majid-ul-Baqri

sapne ki wadi ko taj kar rup-nagar mein aaya kar

Majid-ul-Baqri

sapne vaadī ko taj kar rūp-nagar meñ aayā kar

din ke phaile kāġhaz par apnī tasvīr banāyā kar

dhuup kaḌī hai nañgā sar sahrāoñ se guzrūñgā

apne dupaTTe ke pallū mere sar par saayā kar

ek samundar maujoñ ko ek bhañvar meñ rahne de

niilī āñkhoñ ke sāgar ko aise mat chhalkāyā kar

hoñT surḳhī jhāñk uThtī hai shīshe ke paimānoñ se

miTTī ke bartan meñ paanī kar pyaas bujhāyā kar

dil āvāzoñ gumbad ābādī meñ phahTtā hai

duur kisī ḳhāmosh kueñ meñ muñh laTkā kar gaayā kar

biis baras se ik taare par man jot jagātā huuñ

dīvālī raat ko bhī koī diyā jalāyā kar

'mājid' ne bairāg liyā hai koī aisī baat nahīñ

idhar udhar bāteñ kar ke logoñ ko samjhāyā kar

sapne ki wadi ko taj kar rup-nagar mein aaya kar

din ke phaile kaghaz par apni taswir banaya kar

dhup kaDi hai nanga sar hi sahraon se guzrunga

apne dupaTTe ke pallu ka mere sar par saya kar

ek samundar ki maujon ko ek bhanwar mein rahne de

nili aankhon ke sagar ko aise mat chhalkaya kar

honT ki surKHi jhank uThti hai shishe ke paimanon se

miTTi ke bartan mein pani pi kar pyas bujhaya kar

dil ki aawazon ka gumbad aabaadi mein phahTta hai

dur kisi KHamosh kuen mein munh laTka kar gaya kar

bis baras se ek tare par man ki jot jagata hun

diwali ki raat ko tu bhi koi diya jalaya kar

'majid' ne bairag liya hai koi aisi baat nahin

idhar udhar ki baaten kar ke logon ko samjhaya kar

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now