Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shauq-e-warafta chala shahr-e-tamasha ki taraf

Afeef Siraj

shauq-e-warafta chala shahr-e-tamasha ki taraf

Afeef Siraj

shauq-e-vārafta chalā shahr-e-tamāshā taraf

baḌh ga.e ham bhī hisār-e-husn-e-lailā taraf

ham se maujeñ kah rahī thiiñ aa mirī āġhosh meñ

ham kahāñ yuuñ rahe the mauj-e-dariyā taraf

is qadar Duube gunāh-e-ishq meñ tere habīb

sochte haiñ jā.eñge kis muñh se tauba taraf

kyā zarūrī hai ki hirs-e-jalva-e-sad-rañg meñ

har nazar bhaTke kisī bhī husn-ārā taraf

āyat-e-husn-o-mohabbat se hai bas do murād

ek hai merī taraf ik māh-pāra taraf

shahr-e-dil vīrāna kardam pā-ba-jaulāñ mī-kunī

khiñchā jaatā hai apnā ab to sahrā taraf

saarī duniyā dushman-e-jāñ ban ga.ī hai ai 'sirāj'

koī patthar bhī na aayā tere shaidā taraf

shauq-e-warafta chala shahr-e-tamasha ki taraf

baDh gae hum bhi hisar-e-husn-e-laila ki taraf

hum se maujen kah rahi thin aa meri aaghosh mein

hum kahan yun ja rahe the mauj-e-dariya ki taraf

is qadar Dube gunah-e-ishq mein tere habib

sochte hain jaenge kis munh se tauba ki taraf

kya zaruri hai ki hirs-e-jalwa-e-sad-rang mein

har nazar bhaTke kisi bhi husn-ara ki taraf

aayat-e-husn-o-mohabbat se hai bas do hi murad

ek hai meri taraf ek mah-para ki taraf

shahr-e-dil virana kardam pa-ba-jaulan mi-kuni

ji khincha jata hai apna ab to sahra ki taraf

sari duniya dushman-e-jaan ban gai hai ai 'siraj'

koi patthar bhi na aaya tere shaida ki taraf

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now